Sher on Tasweer
Apart from live images,
pictures too are a subject of poetry. Pictures represent images but these images are static and do not act or speak. Even in silence they are preserved just for the love of it as they evoke memories and are held close to heart as a precious gift captured in a moment of the past.
terī sūrat se kisī kī nahīñ miltī sūrat
ham jahāñ meñ tirī tasvīr liye phirte haiñ
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
-
Tags : Chehraand 1 more
aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se
har adā achchhī ḳhamoshī kī adā achchhī nahīñ
aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se
har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin
zindagī bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale
maiñ abhī tak tirī tasvīr liye baiThā huuñ
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
-
Tags : Ishqand 2 more
rañg ḳhushbū aur mausam kā bahānā ho gayā
apnī hī tasvīr meñ chehra purānā ho gayā
rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
chup-chāp suntī rahtī hai pahroñ shab-e-firāq
tasvīr-e-yār ko hai mirī guftugū pasand
chup-chap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq
taswir-e-yar ko hai meri guftugu pasand
apne jaisī koī tasvīr banānī thī mujhe
mire andar se sabhī rañg tumhāre nikle
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
-
Tags : Loveand 1 more
jo chup-chāp rahtī thī dīvār par
vo tasvīr bāteñ banāne lagī
jo chup-chap rahti thi diwar par
wo taswir baaten banane lagi
mujh ko aksar udaas kartī hai
ek tasvīr muskurātī huī
mujh ko aksar udas karti hai
ek taswir muskuraati hui
-
Tag : WhatsApp
ek kamī thī tāj-mahal meñ
maiñ ne tirī tasvīr lagā dī
ek kami thi taj-mahal mein
main ne teri taswir laga di
-
Tags : Ishqand 4 more
bhej dī tasvīr apnī un ko ye likh kar 'shakīl'
aap kī marzī hai chāhe jis nazar se dekhiye
bhej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil'
aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye
apnī tasvīr banāoge to hogā ehsās
kitnā dushvār hai ḳhud ko koī chehrā denā
apni taswir banaoge to hoga ehsas
kitna dushwar hai KHud ko koi chehra dena
kuchh to is dil ko sazā dī jaa.e
us kī tasvīr haTā dī jaa.e
kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae
-
Tag : Dil
ik baar tujhe aql ne chāhā thā bhulānā
sau baar junūñ ne tirī tasvīr dikhā dī
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di
maiñ ne to yūñhī raakh meñ pherī thiiñ uñgliyāñ
dekhā jo ġhaur se tirī tasvīr ban ga.ī
main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan
dekha jo ghaur se teri taswir ban gai
jis se ye tabī.at baḌī mushkil se lagī thī
dekhā to vo tasvīr har ik dil se lagī thī
jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi
dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi
muddatoñ baad uThā.e the purāne kāġhaz
saath tere mirī tasvīr nikal aa.ī hai
muddaton baad uThae the purane kaghaz
sath tere meri taswir nikal aai hai
sochtā huuñ tirī tasvīr dikhā duuñ us ko
raushnī ne kabhī saaya nahīñ dekhā apnā
sochta hun teri taswir dikha dun us ko
raushni ne kabhi saya nahin dekha apna
rañg darkār the ham ko tirī ḳhāmoshī ke
ek āvāz kī tasvīr banānī thī hameñ
rang darkar the hum ko teri KHamoshi ke
ek aawaz ki taswir banani thi hamein
-
Tags : Khamoshiand 1 more
maiñ laakh ise taaza rakhūñ dil ke lahū se
lekin tirī tasvīr ḳhayālī hī rahegī
main lakh ise taza rakhun dil ke lahu se
lekin teri taswir KHayali hi rahegi
rafta rafta sab tasvīreñ dhundlī hone lagtī haiñ
kitne chehre ek purāne album meñ mar jaate haiñ
rafta rafta sab taswiren dhundli hone lagti hain
kitne chehre ek purane album mein mar jate hain
ik mohabbat kī ye tasvīr hai do rañgoñ meñ
shauq sab merā hai aur saarī hayā us kī hai
ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein
shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai
-
Tag : Mohabbat
ḳhāmushī terī mirī jaan liye letī hai
apnī tasvīr se bāhar tujhe aanā hogā
KHamushi teri meri jaan liye leti hai
apni taswir se bahar tujhe aana hoga
-
Tag : Khamoshi
dil ke ā.īne meñ hai tasvīr-e-yār
jab zarā gardan jhukā.ī dekh lī
dil ke aaine mein hai taswir-e-yar
jab zara gardan jhukai dekh li
dillī ke na the kūche aurāq-e-musavvar the
jo shakl nazar aa.ī tasvīr nazar aa.ī
dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the
jo shakl nazar aai taswir nazar aai
-
Tag : Delhi
maiñ ne bhī dekhne kī had kar dī
vo bhī tasvīr se nikal aayā
main ne bhi dekhne ki had kar di
wo bhi taswir se nikal aaya
chāhiye us kā tasavvur hī se naqsha khīñchnā
dekh kar tasvīr ko tasvīr phir khīñchī to kyā
chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna
dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya
-
Tag : Tasawwur
koī tasvīr mukammal nahīñ hone paatī
dhuup dete haiñ to saayā nahīñ rahne dete
koi taswir mukammal nahin hone pati
dhup dete hain to saya nahin rahne dete
-
Tags : Dhoopand 1 more
aa ki maiñ dekh luuñ khoyā huā chehra apnā
mujh se chhup kar mirī tasvīr banāne vaale
aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna
mujh se chhup kar meri taswir banane wale
-
Tags : Chehraand 1 more
ham haiñ us ke ḳhayāl kī tasvīr
jis kī tasvīr hai ḳhayāl apnā
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
-
Tag : Tasawwur
kah rahī hai ye tirī tasvīr bhī
maiñ kisī se bolne vaalī nahīñ
kah rahi hai ye teri taswir bhi
main kisi se bolne wali nahin
lagtā hai ka.ī rātoñ kā jaagā thā musavvir
tasvīr kī āñkhoñ se thakan jhāñk rahī hai
lagta hai kai raaton ka jaga tha musawwir
taswir ki aankhon se thakan jhank rahi hai
mujhe ye zo.am ki maiñ husn kā musavvir huuñ
unheñ ye naaz ki tasvīr to hamārī hai
mujhe ye zoam ki main husn ka musawwir hun
unhen ye naz ki taswir to hamari hai
aatā thā jis ko dekh ke tasvīr kā ḳhayāl
ab to vo kiil bhī mirī dīvār meñ nahīñ
aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal
ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin
sūrat chhupā.iye kisī sūrat-parast se
ham dil meñ naqsh aap kī tasvīr kar chuke
surat chhupaiye kisi surat-parast se
hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke
tasvīr ke do ruḳh haiñ jaañ aur ġham-e-jānāñ
ik naqsh chhupānā hai ik naqsh dikhānā hai
taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan
ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai
harf ko lafz na kar lafz ko iz.hār na de
koī tasvīr mukammal na banā us ke liye
harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de
koi taswir mukammal na bana us ke liye
vo ayādat ko to aayā thā magar jaate hue
apnī tasvīreñ bhī kamre se uThā kar le gayā
wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue
apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya
-
Tag : Ayaadat
sūrat-e-vasl nikaltī kisī tadbīr ke saath
merī tasvīr hī khiñchtī tirī tasvīr ke saath
surat-e-wasl nikalti kisi tadbir ke sath
meri taswir hi khinchti teri taswir ke sath
kal terī tasvīr mukammal kī maiñ ne
fauran us par titlī aa kar baiTh ga.ī
kal teri taswir mukammal ki main ne
fauran us par titli aa kar baiTh gai
pyaar gayā to kaise milte rañg se rañg aur ḳhvāb se ḳhvāb
ek mukammal ghar ke andar har tasvīr adhūrī thī
pyar gaya to kaise milte rang se rang aur KHwab se KHwab
ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi
-
Tag : Khwab
tirī tasvīr to va.ade ke din khiñchne ke qābil hai
ki sharmā.ī huī āñkheñ haiñ ghabrāyā huā dil hai
teri taswir to wade ke din khinchne ke qabil hai
ki sharmai hui aankhen hain ghabraya hua dil hai
ḳhushbū giraft-e-aks meñ laayā aur us ke baad
maiñ dekhtā rahā tirī tasvīr thak ga.ī
KHushbu giraft-e-aks mein laya aur us ke baad
main dekhta raha teri taswir thak gai
roz hai dard-e-mohabbat kā nirālā andāz
roz dil meñ tirī tasvīr badal jaatī hai
roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz
roz dil mein teri taswir badal jati hai
almārī meñ tasvīreñ rakhtā huuñ
ab bachpan aur buḌhāpā ek hue
almari mein taswiren rakhta hun
ab bachpan aur buDhapa ek hue
tāb-e-nazzāra nahīñ aa.ina kyā dekhne duuñ
aur ban jā.eñge tasvīr jo hairāñ hoñge
how can I let her see the mirror, she lacks strength to see
a picture she'll herself become, stunned by the imagery
tab-e-nazzara nahin aaina kya dekhne dun
aur ban jaenge taswir jo hairan honge
how can I let her see the mirror, she lacks strength to see
a picture she'll herself become, stunned by the imagery
kahīñ aisā na ho kam-baḳht meñ jaan aa jaa.e
is liye haath meñ lete mirī tasvīr nahīñ
kahin aisa na ho kam-baKHt mein jaan aa jae
is liye hath mein lete meri taswir nahin
shahr ho dasht-e-tamannā ho ki dariyā kā safar
terī tasvīr ko siine se lagā rakkhā hai
shahr ho dasht-e-tamanna ho ki dariya ka safar
teri taswir ko sine se laga rakkha hai
garmā sakīñ na chāhateñ terā kaThor jism
har ik jal ke bujh ga.ī tasvīr sañg meñ
garma sakin na chahaten tera kaThor jism
har ek jal ke bujh gai taswir sang mein
dekhnā paḌtī hai ḳhud hī aks kī sūrat-garī
aa.ina kaise batā.e aa.ine meñ kaun hai
dekhna paDti hai KHud hi aks ki surat-gari
aaina kaise batae aaine mein kaun hai
-
Tag : Aaina
uThāo camera tasvīr khīñch lo in kī
udaas log kahāñ roz muskurāte haiñ
uThao camera taswir khinch lo in ki
udas log kahan roz muskuraate hain
-
Tag : Muskurahat