Kaif Bhopali
Ghazal 29
Sher-o-Shayari 38
zindagī shāyad isī kā naam hai
dūriyāñ majbūriyāñ tanhā.iyāñ
zindagi shayad isi ka nam hai
duriyan majburiyan tanhaiyan
-
Share this
- See Ghazal
daaġh duniyā ne diye zaḳhm zamāne se mile
ham ko tohfe ye tumheñ dost banāne se mile
dagh duniya ne diye zaKHm zamane se mile
hum ko tohfe ye tumhein dost banane se mile
-
Share this
- See Ghazal
tujhe kaun jāntā thā mirī dostī se pahle
tirā husn kuchh nahīñ thā mirī shā.irī se pahle
tujhe kaun jaanta tha meri dosti se pahle
tera husn kuchh nahin tha meri shairi se pahle
-
Share this
- See Ghazal
kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā
merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā
kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darwaza hawaon ne hilaya hoga
-
Share this
- See Ghazal
terā chehra kitnā suhānā lagtā hai
tere aage chāñd purānā lagtā hai
tera chehra kitna suhana lagta hai
tere aage chand purana lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 13
Image Shayari 13
ham ne aadaab-e-Gam kaa paas kiyaa naqd-e-jaa.n ko ziyaa.n qayaas kyaa ziist ke tajrabaat kaa ham ne misl-e-aa.iina in.ikaas kiyaa KHabar-e-aagahii ke parde me.n umr bhar maatam-e-havaas kiyaa tohmat-e-sho.ala-zabaa.n le kar suurat-e-zaKHm iltimaas kiyaa kaise ik lafz me.n bayaa.n kar duu.n dil ko kis baat ne udaas kiyaa aa gayaa jab saliiqa-e-ta.miir qasr-e-hastii ko be-asaas kyaa kyuu.n 'sahar' tum ne apne sahraa ko mauj-e-dariyaa se ruu-shanaas kiyaa