Sher on Chehra
A face is an index of
human personality but a beloved’s face is something that the lovers and the poets have valued the most and the best. They see their universe in that and love it like nothing else in the world. Here, we have collected some examples for you to see that face and appreciate its beauty.
kyā sitam hai ki ab tirī sūrat
ġhaur karne pe yaad aatī hai
kya sitam hai ki ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
-
Tag : Yaad
terī sūrat se kisī kī nahīñ miltī sūrat
ham jahāñ meñ tirī tasvīr liye phirte haiñ
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
-
Tags : Husnand 1 more
ai sanam jis ne tujhe chāñd sī sūrat dī hai
usī allāh ne mujh ko bhī mohabbat dī hai
ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
-
Tags : Husnand 2 more
vo chehra kitābī rahā sāmne
baḌī ḳhūbsūrat paḌhā.ī huī
wo chehra kitabi raha samne
baDi KHubsurat paDhai hui
-
Tags : Ishqand 2 more
vo ek hī chehra to nahīñ saare jahāñ meñ
jo duur hai vo dil se utar kyuuñ nahīñ jaatā
wo ek hi chehra to nahin sare jahan mein
jo dur hai wo dil se utar kyun nahin jata
-
Tags : Ishqand 1 more
ajab terī hai ai mahbūb sūrat
nazar se gir ga.e sab ḳhūbsūrat
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab KHubsurat
terā chehra kitnā suhānā lagtā hai
tere aage chāñd purānā lagtā hai
tera chehra kitna suhana lagta hai
tere aage chand purana lagta hai
-
Tag : Husn
shabnam ke aañsū phuul par ye to vahī qissa huā
āñkheñ mirī bhīgī huī chehra tirā utrā huā
shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua
aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua
-
Tags : Aansooand 2 more
koī bhūlā huā chehra nazar aa.e shāyad
ā.īna ġhaur se tū ne kabhī dekhā hī nahīñ
koi bhula hua chehra nazar aae shayad
aaina ghaur se tu ne kabhi dekha hi nahin
-
Tag : Aaina
achchhī sūrat bhī kyā burī shai hai
jis ne Daalī burī nazar Daalī
achchhi surat bhi kya buri shai hai
jis ne Dali buri nazar Dali
ab us kī shakl bhī mushkil se yaad aatī hai
vo jis ke naam se hote na the judā mire lab
ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai
wo jis ke nam se hote na the juda mere lab
-
Tag : Yaad
bhuul ga.ī vo shakl bhī āḳhir
kab tak yaad koī rahtā hai
bhul gai wo shakl bhi aaKHir
kab tak yaad koi rahta hai
-
Tag : Yaad
maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā
ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
-
Tags : Aainaand 1 more
un kī sūrat dekh lī ḳhush ho ga.e
un kī sīrat se hameñ kyā kaam hai
un ki surat dekh li KHush ho gae
un ki sirat se hamein kya kaam hai
rahtā thā sāmne tirā chehra khulā huā
paḌhtā thā maiñ kitāb yahī har class meñ
rahta tha samne tera chehra khula hua
paDhta tha main kitab yahi har class mein
-
Tag : Kitab
ik raat chāñdnī mire bistar pe aa.ī thī
maiñ ne tarāsh kar tirā chehra banā diyā
ek raat chandni mere bistar pe aai thi
main ne tarash kar tera chehra bana diya
chehra khulī kitāb hai unvān jo bhī do
jis ruḳh se bhī paḌhoge mujhe jaan jāoge
chehra khuli kitab hai unwan jo bhi do
jis ruKH se bhi paDhoge mujhe jaan jaoge
kyuuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
jaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar
why didn't I turn to ashes seeing her face so glowing, bright
by envy now I am inflamed, at strength of my own sight
kyun jal gaya na tab-e-ruKH-e-yar dekh kar
jalta hun apni taqat-e-didar dekh kar
why didn't I turn to ashes seeing her face so glowing, bright
by envy now I am inflamed, at strength of my own sight
-
Tags : Deedarand 1 more
baḌe sīdhe-sādhe baḌe bhole-bhāle
koī dekhe is vaqt chehrā tumhārā
baDe sidhe-sadhe baDe bhole-bhaale
koi dekhe is waqt chehra tumhaara
ḳhvāboñ ke ufuq par tirā chehra ho hamesha
aur maiñ usī chehre se na.e ḳhvāb sajā.ūñ
KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae KHwab sajaun
-
Tags : Khwaband 1 more
bhulā diiñ ham ne kitābeñ ki us parī-rū ke
kitābī chehre ke aage kitāb hai kyā chiiz
bhula din hum ne kitaben ki us pari-ru ke
kitabi chehre ke aage kitab hai kya chiz
-
Tag : Kitab
us ek chehre meñ ābād the ka.ī chehre
us ek shaḳhs meñ kis kis ko dekhtā thā maiñ
us ek chehre mein aabaad the kai chehre
us ek shaKHs mein kis kis ko dekhta tha main
tū ne sūrat na dikhā.ī to ye sūrat hogī
log dekheñge tamāshā tire dīvāne kā
tu ne surat na dikhai to ye surat hogi
log dekhenge tamasha tere diwane ka
kitāb khol ke dekhūñ to aañkh rotī hai
varaq varaq tirā chehrā dikhā.ī detā hai
kitab khol ke dekhun to aankh roti hai
waraq waraq tera chehra dikhai deta hai
aa ki maiñ dekh luuñ khoyā huā chehra apnā
mujh se chhup kar mirī tasvīr banāne vaale
aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna
mujh se chhup kar meri taswir banane wale
-
Tags : Mehbooband 1 more
tashbīh tire chehre ko kyā duuñ gul-e-tar se
hotā hai shagufta magar itnā nahīñ hotā
tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota
-
Tag : Mehboob
ishq hai to ishq kā iz.hār honā chāhiye
aap ko chehre se bhī bīmār honā chāhiye
ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye
-
Tags : Ishqand 1 more
jise paḌhte to yaad aatā thā terā phuul sā chehra
hamārī sab kitāboñ meñ ik aisā baab rahtā thā
jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra
hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha
-
Tag : Kitab
lamha lamha mujhe vīrān kiye detā hai
bas gayā mere tasavvur meñ ye chehra kis kā
lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka
-
Tag : Tasawwur
ham kisī bahrūpiye ko jaan leñ mushkil nahīñ
us ko kyā pahchāniye jis kā koī chehrā na ho
hum kisi bahrupiye ko jaan len mushkil nahin
us ko kya pahchaniye jis ka koi chehra na ho
abhī to aur bhī chehre tumheñ pukāreñge
abhī vo aur bhī chehroñ meñ muntaqil hogā
abhi to aur bhi chehre tumhein pukarenge
abhi wo aur bhi chehron mein muntaqil hoga
us ek chehre ke pīchhe hazār chehre haiñ
hazār chehroñ kā vo qāfila sā lagtā hai
us ek chehre ke pichhe hazar chehre hain
hazar chehron ka wo qafila sa lagta hai
banātā huuñ maiñ tasavvur meñ us kā chehra magar
har ek baar na.ī kā.enāt bantī hai
banata hun main tasawwur mein us ka chehra magar
har ek bar nai kaenat banti hai
-
Tag : Tasawwur
abhī to aur bhī chehre tumheñ pukāreñge
abhī vo aur bhī chehroñ meñ muntaqil hogā
abhi to aur bhi chehre tumhein pukarenge
abhi wo aur bhi chehron mein muntaqil hoga
chuum luuñ maiñ varaq varaq us kā
tere chehre se jo kitāb mile
chum lun main waraq waraq us ka
tere chehre se jo kitab mile
-
Tag : Kitab
malūñ hoñ ḳhaak juuñ ā.īna muñh par
tirī sūrat mujhe aatī hai jab yaad
malun hon KHak jun aaina munh par
teri surat mujhe aati hai jab yaad
kuchh saaf us kā chehra matlab nahīñ batātā
yuuñ thā ki jaise maiñ ne qur.āñ meñ faal dekhā
kuchh saf us ka chehra matlab nahin batata
yun tha ki jaise main ne quran mein fal dekha