Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arsh Siddiqui's Photo'

Arsh Siddiqui

1927 - 1997 | Multan, Pakistan

Arsh Siddiqui

Ghazal 45

Nazm 9

Sher-o-Shayari 11

haañ samundar meñ utar lekin ubharne bhī soch

Dūbne se pahle gahrā.ī andāza lagā

han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch

Dubne se pahle gahrai ka andaza laga

ik terī be-ruḳhī se zamāna ḳhafā huā

ai sañg-dil tujhe bhī ḳhabar hai ki kyā huā

ek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua

ai sang-dil tujhe bhi KHabar hai ki kya hua

ham ki māyūs nahīñ haiñ unheñ leñge

log kahte haiñ ki DhūñDe se ḳhudā miltā hai

hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge

log kahte hain ki DhunDe se KHuda milta hai

vo ayādat ko to aayā thā magar jaate hue

apnī tasvīreñ bhī kamre se uThā kar le gayā

wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue

apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya

dekh rah jaa.e na ḳhvāhish ke gumbad meñ asiir

ghar banātā hai to sab se pahle darvāza lagā

dekh rah jae na tu KHwahish ke gumbad mein asir

ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga

BOOKS 1

 

More Poets From "Multan"

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now