Sher on Ruswai
Shers in this category
have had a context in love poetry. There are many occasions when lovers have to cut a sorry figure and face embarrassment. Urdu poets have exploited this idea a great deal. Here are some examples.
kaise kah duuñ ki mujhe chhoḌ diyā hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvā.ī kī
How can I say that I have been deserted by my beau
Its true but this will cause me to be shamed for evermore
kaise kah dun ki mujhe chhoD diya hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
How can I say that I have been deserted by my beau
Its true but this will cause me to be shamed for evermore
ishq jab tak na kar chuke rusvā
aadmī kaam kā nahīñ hotā
till love does not cause him disgrace
in this world man has no place
ishq jab tak na kar chuke ruswa
aadmi kaam ka nahin hota
till love does not cause him disgrace
in this world man has no place
-
Tags : Ishqand 1 more
rusvā hue zalīl hue dar-ba-dar hue
haq baat lab pe aa.ī to ham be-hunar hue
ruswa hue zalil hue dar-ba-dar hue
haq baat lab pe aai to hum be-hunar hue
aziyyat musībat malāmat balā.eñ
tire ishq meñ ham ne kyā kyā na dekhā
aziyyat musibat malamat balaen
tere ishq mein hum ne kya kya na dekha
-
Tags : Ishqand 1 more
merī rusvā.ī ke asbāb haiñ mere andar
aadmī huuñ so bahut ḳhvāb haiñ mere andar
meri ruswai ke asbab hain mere andar
aadmi hun so bahut KHwab hain mere andar
nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin
bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle
From Eden, of Adam's exile, I am familiar, though
Greatly humiliated from your street didI have to go
nikalna KHuld se aadam ka sunte aae hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se hum nikle
From Eden, of Adam's exile, I am familiar, though
Greatly humiliated from your street didI have to go
ahl-e-havas to ḳhair havas meñ hue zalīl
vo bhī hue ḳharāb, mohabbat jinhoñ ne kī
ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil
wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki
-
Tags : Ishqand 2 more
ab to har haath kā patthar hameñ pahchāntā hai
umr guzrī hai tire shahr meñ aate jaate
ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai
umr guzri hai tere shahr mein aate jate
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
log be-vaj.h udāsī kā sabab pūchheñge
baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajh udasi ka sabab puchhenge
phirte haiñ 'mīr' ḳhvār koī pūchhtā nahīñ
is āshiqī meñ izzat-e-sādāt bhī ga.ī
phirte hain 'mir' KHwar koi puchhta nahin
is aashiqi mein izzat-e-sadat bhi gai
ḳhair badnām to pahle bhī bahut the lekin
tujh se milnā thā ki par lag ga.e rusvā.ī ko
KHair badnam to pahle bhi bahut the lekin
tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko
apnī rusvā.ī tire naam kā charchā dekhūñ
ik zarā sher kahūñ aur maiñ kyā kyā dekhūñ
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
-
Tag : Sher
dekhe haiñ bahut ham ne hañgāme mohabbat ke
āġhāz bhī rusvā.ī anjām bhī rusvā.ī
dekhe hain bahut hum ne hangame mohabbat ke
aaghaz bhi ruswai anjam bhi ruswai
-
Tags : Ishqand 1 more
hamāre ishq meñ rusvā hue tum
magar ham to tamāshā ho ga.e haiñ
hamare ishq mein ruswa hue tum
magar hum to tamasha ho gae hain
koī tohmat ho mire naam chalī aatī hai
jaise bāzār meñ har ghar se galī aatī hai
koi tohmat ho mere nam chali aati hai
jaise bazar mein har ghar se gali aati hai
yādoñ kī bauchhāroñ se jab palkeñ bhīgne lagtī haiñ
soñdhī soñdhī lagtī hai tab maazī kī rusvā.ī bhī
yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain
sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi
-
Tags : Maziand 1 more
kis qadar bad-nāmiyāñ haiñ mere saath
kyā batā.ūñ kis qadar tanhā huuñ maiñ
kis qadar bad-namiyan hain mere sath
kya bataun kis qadar tanha hun main
-
Tag : Tanhai
kyā milā tum ko mire ishq kā charchā kar ke
tum bhī rusvā hue āḳhir mujhe rusvā kar ke
kya mila tum ko mere ishq ka charcha kar ke
tum bhi ruswa hue aaKHir mujhe ruswa kar ke
-
Tags : Ishqand 1 more
log kahte haiñ ki bad-nāmī se bachnā chāhiye
kah do be is ke javānī kā mazā miltā nahīñ
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye
kah do be is ke jawani ka maza milta nahin
-
Tag : Jawani
saarī duniyā hameñ pahchāntī hai
koī ham sā bhī na tanhā hogā
sari duniya hamein pahchanti hai
koi hum sa bhi na tanha hoga
-
Tag : Tanhai
ham tālib-e-shohrat haiñ hameñ nañg se kyā kaam
badnām agar hoñge to kyā naam na hogā
hum talib-e-shohrat hain hamein nang se kya kaam
badnam agar honge to kya nam na hoga
jis jagah baiThe mirā charchā kiyā
ḳhud hue rusvā mujhe rusvā kiyā
jis jagah baiThe mera charcha kiya
KHud hue ruswa mujhe ruswa kiya
mujhe muskurā muskurā kar na dekho
mire saath tum bhī ho rusvā.iyoñ meñ
mujhe muskura muskura kar na dekho
mere sath tum bhi ho ruswaiyon mein
har-chand tujhe sabr nahīñ dard va-lekin
itnā bhī na miliyo ki vo badnām bahut ho
har-chand tujhe sabr nahin dard wa-lekin
itna bhi na miliyo ki wo badnam bahut ho
'qamar' zarā bhī nahīñ tum ko ḳhauf-e-rusvā.ī
chale ho chāñdnī shab meñ unheñ bulāne ko
'qamar' zara bhi nahin tum ko KHauf-e-ruswai
chale ho chandni shab mein unhen bulane ko
tum ko hazār sharm sahī mujh ko laakh zabt
ulfat vo raaz hai ki chhupāyā na jā.egā
tum ko hazar sharm sahi mujh ko lakh zabt
ulfat wo raaz hai ki chhupaya na jaega
-
Tags : Ishqand 1 more
ab tū darvāze se apne naam kī taḳhtī utaar
lafz nañge ho ga.e shohrat bhī gaalī ho ga.ī
ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai
-
Tag : Shohrat
us ghar kī badaulat mire sheroñ ko hai shohrat
vo ghar ki jo is shahr meñ badnām bahut hai
us ghar ki badaulat mere sheron ko hai shohrat
wo ghar ki jo is shahr mein badnam bahut hai
-
Tag : Shohrat
dukh de yā rusvā.ī de
ġham ko mire gahrā.ī de
dukh de ya ruswai de
gham ko mere gahrai de
-
Tags : Dardand 1 more
achchhī-ḳhāsī rusvā.ī kā sabab hotī hai
dūsrī aurat pahlī jaisī kab hotī hai
achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai
dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai
-
Tag : Aurat
ranj-o-ġham dard-o-alam zillat-o-rusvā.ī hai
ham ne ye dil ke lagāne kī sazā paa.ī hai
ranj-o-gham dard-o-alam zillat-o-ruswai hai
hum ne ye dil ke lagane ki saza pai hai
saarī rusvā.ī zamāne kī gavārā kar ke
zindagī jiite haiñ kuchh log ḳhasāra kar ke
sari ruswai zamane ki gawara kar ke
zindagi jite hain kuchh log KHasara kar ke
-
Tag : Zindagi
vo junūñ ko baḌhā.e jā.eñge
un kī shohrat hai merī rusvā.ī
wo junun ko baDhae jaenge
un ki shohrat hai meri ruswai
-
Tag : Shohrat
sar phoḌ ke mar jā.eñge badnām kareñge
jis kaam se Darte ho vahī kaam kareñge
sar phoD ke mar jaenge badnam karenge
jis kaam se Darte ho wahi kaam karenge
kahiye jo jhuuT to ham hote haiñ kah ke rusvā
sach kahiye to zamāna yaaro nahīñ hai sach kā
kahiye jo jhuT to hum hote hain kah ke ruswa
sach kahiye to zamana yaro nahin hai sach ka
pyaar karne bhī na paayā thā ki rusvā.ī milī
jurm se pahle hī mujh ko sañg-e-ḳhamyāza lagā
pyar karne bhi na paya tha ki ruswai mili
jurm se pahle hi mujh ko sang-e-KHamyaza laga
merī shohrat ke pīchhe hai
haath bahut rusvā.ī kā
meri shohrat ke pichhe hai
hath bahut ruswai ka
tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aa.e the ham kar chale
tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aae the hum kar chale
is shahr meñ to kuchh nahīñ rusvā.ī ke sivā
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayā tujhe
is shahr mein to kuchh nahin ruswai ke siwa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gaya tujhe
-
Tag : Ishq
chaah kī chitvan merī aañkh us kī sharmā.ī huī
taaḌ lī majlis meñ sab ne saḳht rusvā.ī huī
chah ki chitwan meri aankh us ki sharmai hui
taD li majlis mein sab ne saKHt ruswai hui
vo mere naam kī nisbat se mo'tabar Thahre
galī galī mirī rusvā.iyoñ kā sāthī ho
wo mere nam ki nisbat se mo'tabar Thahre
gali gali meri ruswaiyon ka sathi ho
merī rusvā.ī agar saath na detī merā
yuuñ sar-e-bazm maiñ izzat se nikaltā kaise
meri ruswai agar sath na deti mera
yun sar-e-bazm main izzat se nikalta kaise
zarā sī der ko us ne palaT ke dekhā thā
zarā sī baat kā charchā kahāñ kahāñ huā hai
zara si der ko us ne palaT ke dekha tha
zara si baat ka charcha kahan kahan hua hai
tañg aa gayā huuñ vusat-e-mafhūm-e-ishq se
niklā jo harf muñh se vo afsāna ho gayā
tang aa gaya hun wusat-e-mafhum-e-ishq se
nikla jo harf munh se wo afsana ho gaya
-
Tags : Ishqand 1 more
kisī kī shaḳhsiyat majrūh kar dī
zamāne bhar meñ shohrat ho rahī hai
kisi ki shaKHsiyat majruh kar di
zamane bhar mein shohrat ho rahi hai
ghar se us kā bhī nikalnā ho gayā āḳhir muhāl
merī rusvā.ī se shohrat kū-ba-kū us kī bhī thī
ghar se us ka bhi nikalna ho gaya aaKHir muhaal
meri ruswai se shohrat ku-ba-ku us ki bhi thi
-
Tag : Shohrat
kaun maslūb huā husn kā kirdār ki ham
shohrat-e-ishq meñ badnām huā yaar ki ham
kaun maslub hua husn ka kirdar ki hum
shohrat-e-ishq mein badnam hua yar ki hum
-
Tag : Shohrat