Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal 78
Sher-o-Shayari 132
tā-falak le ga.ī betābi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlā hai ye ziinā apnā
When my heart's / restlessness, to the skies did lead
This is just my first rung, Mr. Love decreed
ta-falak le gai betabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahla hai ye zina apna
When my heart's / restlessness, to the skies did lead
This is just my first rung, Mr. Love decreed
-
Share this
- Translation
Qita 1
Qisse 1
BOOKS 9
Image Shayari 3
dil-e-vahshii ko KHvaahish hai tumhaare dar pe aane kii divaanaa hai va-lekin baat kartaa hai Thikaane kii
ab ishq tamaashaa mujhe dikhlaa.e hai kuchh aur kahtaa huu.n kuchh aur mu.nh se nikal jaa.e hai kuchh aur naaseh kii himaaqat to zaraa dekhiyo yaaro samjhaa huu.n mai.n kuchh aur mujhe samjhaa.e hai kuchh aur kyaa diida-e-KHuu.n-baar se nisbat hai ki ye abr barsaa.e hai kuchh aur vo barsaa.e kuchh aur rone de, ha.nsaa mujh ko na hamdam ki tujhe ab kuchh aur hii bhaataa hai mujhe bhaa.e hai kuchh aur paiGaam-bar aayaa hai ye ausaan ga.nvaa.e puuchhuu.n huu.n mai.n kuchh aur mujhe batlaa.e hai kuchh aur 'jur.at' kii tarah mere havaas ab nahii.n bar jaa kahtaa huu.n kuchh aur mu.nh se nikal jaa.e hai kuchh aur