Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal 51
Nazm 28
Sher-o-Shayari 18
is ālam-e-vīrāñ meñ kyā anjuman-ārā.ī
do roz kī mahfil hai ik umr kī tanhā.ī
is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai
do roz ki mahfil hai ek umr ki tanhai
-
Share this
- See Ghazal
dekhe haiñ bahut ham ne hañgāme mohabbat ke
āġhāz bhī rusvā.ī anjām bhī rusvā.ī
dekhe hain bahut hum ne hangame mohabbat ke
aaghaz bhi ruswai anjam bhi ruswai
-
Share this
- See Ghazal
diloñ kā zikr hī kyā hai mileñ mileñ na mileñ
nazar milāo nazar se nazar kī baat karo
dilon ka zikr hi kya hai milen milen na milen
nazar milao nazar se nazar ki baat karo
-
Share this
- See Ghazal
aisā na ho ye dard bane dard-e-lā-davā
aisā na ho ki tum bhī mudāvā na kar sako
it should not be that this ache intensifies past remedy
it should not happen even you do not have a cure for me
aisa na ho ye dard bane dard-e-la-dawa
aisa na ho ki tum bhi mudawa na kar sako
it should not be that this ache intensifies past remedy
it should not happen even you do not have a cure for me
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
maiñ tohfa le ke aayā huuñ tamannāoñ ke phūloñ kā
luTāne ko bahār-e-zindagānī le ke aayā huuñ
main tohfa le ke aaya hun tamannaon ke phulon ka
luTane ko bahaar-e-zindagani le ke aaya hun
-
Share this
- See Ghazal
Qita 17
Rubai 24
Article 2
BOOKS 31
Image Shayari 3
sau baar chaman mahkaa sau baar bahaar aa.ii duniyaa kii vahii raunaq dil kii vahii tanhaa.ii ik lahza bahe aa.nsuu ik lahza ha.nsii aa.ii siikhe hai.n na.e dil ne andaaz-e-shakebaa.ii is mausam-e-gul hii se bahke nahii.n diivaane saath abr-e-bahaaraa.n ke vo zulf bhii lahraa.ii har dard-e-mohabbat se uljhaa hai Gam-e-hastii kyaa kyaa hame.n yaad aayaa jab yaad tirii aa.ii charke vo diye dil ko mahruumii-e-qismat ne ab hijr bhii tanhaa.ii aur vasl bhii tanhaa.ii dekhe hai.n bahut ham ne ha.ngaame mohabbat ke aaGaaz bhii rusvaa.ii anjaam bhii rusvaa.ii ye bazm-e-mohabbat hai is bazm-e-mohabbat me.n diivaane bhii shaidaa.ii farzaane bhii shaidaa.ii