Sher on Mazi
Past may have many avatars—good
and bad. But past has memories also that sustain us through all times and help us live a life differently. These verses recreate the moments gone by and help us perceive life as a rich continuity. These verses bring various facets of the past from which we cannot ever disassociate.
yād-e-māzī 'azāb hai yā-rab
chhīn le mujh se hāfiza merā
yaad-e-mazi 'azab hai ya-rab
chhin le mujh se hafiza mera
māzī-e-marhūm kī nākāmiyoñ kā zikr chhoḌ
zindagī kī fursat-e-bāqī se koī kaam le
mazi-e-marhum ki nakaamiyon ka zikr chhoD
zindagi ki fursat-e-baqi se koi kaam le
-
Tag : Motivational
yādoñ kī bauchhāroñ se jab palkeñ bhīgne lagtī haiñ
soñdhī soñdhī lagtī hai tab maazī kī rusvā.ī bhī
yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain
sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi
-
Tags : Ruswaiand 1 more
band kar de koī maazī kā darīcha mujh par
ab is ā.īne meñ sūrat nahīñ dekhī jaatī
band kar de koi mazi ka daricha mujh par
ab is aaine mein surat nahin dekhi jati
ishq kī har dāstāñ meñ ek hī nukta milā
ishq kā maazī huā kartā hai mustaqbil nahīñ
in every tale of love is a common theme to wit
love only has a past but no future's there for it
ishq ki har dastan mein ek hi nukta mila
ishq ka mazi hua karta hai mustaqbil nahin
in every tale of love is a common theme to wit
love only has a past but no future's there for it
-
Tags : Ishqand 1 more
vo maazī jo hai ik majmua ashkoñ aur aahoñ kā
na jaane mujh ko is maazī se kyuuñ itnī mohabbat hai
wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai
-
Tags : Aahand 1 more
kabhī mileñge jo rāste meñ to muñh phirā kar palaT paḌeñge
kahīñ suneñge jo naam terā to chup raheñge nazar jhukā ke
kabhi milenge jo raste mein to munh phira kar palaT paDenge
kahin sunenge jo nam tera to chup rahenge nazar jhuka ke
-
Tag : Mulaqat
hañsī meñ kaTtī thiiñ rāteñ ḳhushī meñ din guzartā thā
'kañval' maazī kā afsāna na tum bhūle na ham bhūle
hansi mein kaTti thin raaten KHushi mein din guzarta tha
'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule
kuredtā hai bahut raakh mere maazī kī
maiñ chuuk jā.ūñ to vo uñgliyāñ jalā legā
kuredta hai bahut rakh mere mazi ki
main chuk jaun to wo ungliyan jala lega
maazī se ubhrīñ vo zinda tasvīreñ
utar gayā sab nashsha na.e purāne kā
mazi se ubhrin wo zinda taswiren
utar gaya sab nashsha nae purane ka
tamīz-e-ḳhvāb-o-haqīqat hai shart-e-bedārī
ḳhayāl-e-azmat-e-māzī ko chhoḌ haal ko dekh
tamiz-e-KHwab-o-haqiqat hai shart-e-bedari
KHayal-e-azmat-e-mazi ko chhoD haal ko dekh
Tahnī pe ḳhamosh ik parinda
maazī ke ulaT rahā hai daftar
Tahni pe KHamosh ek parinda
mazi ke ulaT raha hai daftar
allāh-re be-ḳhudī ki chalā jā rahā huuñ maiñ
manzil ko dekhtā huā kuchh sochtā huā
allah-re be-KHudi ki chala ja raha hun main
manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua
-
Tag : Bekhudi
ye jo maazī kī baat karte haiñ
sochte hoñge haal se aage
ye jo mazi ki baat karte hain
sochte honge haal se aage
yād-e-māzī kī pur-asrār hasīñ galiyoñ meñ
mere hamrāh abhī ghuum rahā hai koī
yaad-e-mazi ki pur-asrar hasin galiyon mein
mere hamrah abhi ghum raha hai koi
-
Tag : Yaad
ka.ī nā-āshnā chehre hijāboñ se nikal aa.e
na.e kirdār maazī kī kitāboñ se nikal aa.e
kai na-ashna chehre hijabon se nikal aae
nae kirdar mazi ki kitabon se nikal aae
maazī ke reg-zār pe rakhnā sambhal ke paañv
bachchoñ kā is meñ koī gharauñdā banā na ho
mazi ke reg-zar pe rakhna sambhal ke panw
bachchon ka is mein koi gharaunda bana na ho