ALL
Profile
Ghazal84
Nazm39
Sher110
E-book27
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari28
Audio32
Video58
Qita1
Gallery 3
Blog1
Parveen Shakir
Ghazal 84
Nazm 39
Sher-o-Shayari 110
vo to ḳhush-bū hai havāoñ meñ bikhar jā.egā
mas.ala phuul kā hai phuul kidhar jā.egā
wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
-
Share this
- See Ghazal
husn ke samajhne ko umr chāhiye jānāñ
do ghaḌī kī chāhat meñ laḌkiyāñ nahīñ khultīñ
husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan
do ghaDi ki chahat mein laDkiyan nahin khultin
-
Share this
- See Ghazal
maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī
vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā
main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega
-
Share this
- See Ghazal
itne ghane bādal ke pīchhe
kitnā tanhā hogā chāñd
itne ghane baadal ke pichhe
kitna tanha hoga chand
-
Share this
- See Ghazal
kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī
dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī
kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi
dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi
-
Share this
- See Ghazal
Qita 1
BOOKS 27
Image Shayari 28
khulegii us nazar pe chashm-e-tar aahista aahista kiyaa jaataa hai paanii me.n safar aahista aahista ko.ii zanjiir phir vaapas vahii.n par le ke aatii hai kaThin ho raah to chhuTtaa hai ghar aahista aahista badal denaa hai rasta yaa kahii.n par baiTh jaanaa hai ki thaktaa jaa rahaa hai ham-safar aahista aahista KHalish ke saath is dil se na merii jaa.n nikal jaa.e khi.nche tiir-e-shanaasaa.ii magar aahista aahista havaa se sar-kashii me.n phuul kaa apnaa ziyaa.n dekhaa so jhuktaa jaa rahaa hai ab ye sar aahista aahista
mai.n kyuu.n us ko phone karuu.n! us ke bhii to ilm me.n hogaa kal shab mausam kii pahlii baarish thii!
puuraa dukh aur aadhaa chaa.nd hijr kii shab aur aisaa chaa.nd din me.n vahshat bahal ga.ii raat hu.ii aur niklaa chaa.nd kis maqtal se guzraa hogaa itnaa sahmaa sahmaa chaa.nd yaado.n kii aabaad galii me.n ghuum rahaa hai tanhaa chaa.nd merii karvaT par jaag uTThe nii.nd kaa kitnaa kachchaa chaa.nd mere mu.nh ko kis hairat se dekh rahaa hai bholaa chaa.nd itne ghane baadal ke piichhe kitnaa tanhaa hogaa chaa.nd aa.nsuu roke nuur nahaa.e dil dariyaa tan sahraa chaa.nd itne raushan chehre par bhii suuraj kaa hai saayaa chaa.nd jab paanii me.n chehra dekhaa tuu ne kis ko sochaa chaa.nd bargad kii ik shaaKH haTaa kar jaane kis ko jhaa.nkaa chaa.nd baadal ke resham jhuule me.n bhor samay tak soyaa chaa.nd raat ke shaane par sar rakkhe dekh rahaa hai sapnaa chaa.nd suukhe patto.n ke jhurmuT par shabnam thii yaa nanhaa chaa.nd haath hilaa kar ruKHsat hogaa us kii suurat hijr kaa chaa.nd sahraa sahraa bhaTak rahaa hai apne ishq me.n sachchaa chaa.nd raat ke shaayad ek baje hai.n sotaa hogaa meraa chaa.nd
bahut royaa vo ham ko yaad kar ke hamaarii zindagii barbaad kar ke palaT kar phir yahii.n aa jaa.e.nge ham vo dekhe to hame.n aazaad kar ke rihaa.ii kii ko.ii suurat nahii.n hai magar haa.n minnat-e-sayyaad kar ke badan meraa chhu.aa thaa us ne lekin gayaa hai ruuh ko aabaad kar ke har aamir tuul denaa chaahtaa hai muqarrar zulm kii mii.aad kar ke