Sher on Budhapa
Old age is a medial
stage between life and death. It can be both fascinating and painful. Much depends on how one lives this phase of life. Urdu poets have drawn upon this theme with great objectivity and sometimes reflected upon individual cases to drive home a philosophy of life. Old age also evokes memories of youth and looks forward to the end of life’s journey. Some verses are here for you to look at appreciate the variety of responses to this experience.
kahte haiñ umr-e-rafta kabhī lauTtī nahīñ
jā mai-kade se merī javānī uThā ke lā
tis said this fleeting life once gone never returns
go to the tavern and bring back my youth again
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
ja mai-kade se meri jawani uTha ke la
tis said this fleeting life once gone never returns
go to the tavern and bring back my youth again
-
Tags : Famous shayariand 2 more
safar pīchhe kī jānib hai qadam aage hai merā
maiñ būḌhā hotā jaatā huuñ javāñ hone kī ḳhātir
safar pichhe ki jaanib hai qadam aage hai mera
main buDha hota jata hun jawan hone ki KHatir
maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā
ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
-
Tags : Aainaand 1 more
ab jo ik hasrat-e-javānī hai
umr-e-rafta kī ye nishānī hai
ab jo ek hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki ye nishani hai
-
Tag : Jawani
maut ke saath huī hai mirī shādī so 'zafar'
umr ke āḳhirī lamhāt meñ dūlhā huā maiñ
maut ke sath hui hai meri shadi so 'zafar'
umr ke aaKHiri lamhat mein dulha hua main
-
Tag : Maut
dil fasurda to huā dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun javāñ kaun hasīñ rahtā hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai
vaqt-e-pīrī shabāb kī bāteñ
aisī haiñ jaise ḳhvāb kī bāteñ
in old age talk of youth now seems
to be just like the stuff of dreams
waqt-e-piri shabab ki baaten
aisi hain jaise KHwab ki baaten
in old age talk of youth now seems
to be just like the stuff of dreams
-
Tags : Jawaniand 1 more
gudāz-e-ishq nahīñ kam jo maiñ javāñ na rahā
vahī hai aag magar aag meñ dhuāñ na rahā
no longer am I young, love's passion still remains
the fire as yet burns, no smoke tho it contains
gudaz-e-ishq nahin kam jo main jawan na raha
wahi hai aag magar aag mein dhuan na raha
no longer am I young, love's passion still remains
the fire as yet burns, no smoke tho it contains
-
Tag : Jawani
talātum aarzū meñ hai na tūfāñ justujū meñ hai
javānī kā guzar jaanā hai dariyā kā utar jaanā
talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai
jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana
-
Tags : Aarzooand 3 more
piirī meñ valvale vo kahāñ haiñ shabāb ke
ik dhuup thī ki saath ga.ī āftāb ke
piri mein walwale wo kahan hain shabab ke
ek dhup thi ki sath gai aaftab ke
ḳhāmosh ho ga.iiñ jo umañgeñ shabāb kī
phir jur.at-e-gunāh na kī ham bhī chup rahe
KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe
-
Tags : Gunahand 1 more
ruḳhsat huā shabāb to ab aap aa.e haiñ
ab aap hī batā.iye sarkār kyā kareñ
ruKHsat hua shabab to ab aap aae hain
ab aap hi bataiye sarkar kya karen
piirī meñ shauq hausla-farsā nahīñ rahā
vo dil nahīñ rahā vo zamāna nahīñ rahā
piri mein shauq hausla-farsa nahin raha
wo dil nahin raha wo zamana nahin raha
ab vo piirī meñ kahāñ ahd-e-javānī kī umañg
rañg maujoñ kā badal jāatā hai sāhil ke qarīb
ab wo piri mein kahan ahd-e-jawani ki umang
rang maujon ka badal jaata hai sahil ke qarib