Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hadi Machlishahri's Photo'

Hadi Machlishahri

1890 - 1961 | Pakistan

Hadi Machlishahri

Ghazal 15

Sher-o-Shayari 14

ġham-e-dil ab kisī ke bas nahīñ

kyā davā kyā duā kare koī

gham-e-dil ab kisi ke bas ka nahin

kya dawa kya dua kare koi

tum aziiz aur tumhārā ġham bhī aziiz

kis se kis gilā kare koī

tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz

kis se kis ka gila kare koi

vo pūchhte haiñ dil-e-mubtalā haal aur ham

javāb meñ faqat aañsū bahā.e jaate haiñ

wo puchhte hain dil-e-mubtala ka haal aur hum

jawab mein faqat aansu bahae jate hain

us ne is andāz se dekhā mujhe

zindagī bhar gila jaatā rahā

us ne is andaz se dekha mujhe

zindagi bhar ka gila jata raha

  • Share this

mirā vajūd haqīqat mirā adam dhokā

fanā shakl meñ sar-chashma-e-baqā huuñ maiñ

mera wajud haqiqat mera adam dhoka

fana ki shakl mein sar-chashma-e-baqa hun main

BOOKS 1

 

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now