Sher on Justaju
Curiosity, or will to
explore, keeps us going all our lives. This may take any turn and apply to any walk of life. One could be curious about one’s own self, about the world around, or the beloved, even God who stays unreachable in spite of all efforts to reach out to Him. This selection on justujuu would bring certain interesting facets of this experience.
nahīñ nigāh meñ manzil to justujū hī sahī
nahīñ visāl mayassar to aarzū hī sahī
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
-
Tags : Aarzooand 2 more
ai shaḳhs maiñ terī justujū se
be-zār nahīñ huuñ thak gayā huuñ
ai shaKHs main teri justuju se
be-zar nahin hun thak gaya hun
justujū jis kī thī us ko to na paayā ham ne
is bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne
justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne
-
Tags : Bahanaand 1 more
sab kuchh to hai kyā DhūñDtī rahtī haiñ nigāheñ
kyā baat hai maiñ vaqt pe ghar kyuuñ nahīñ jaatā
sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
-
Tags : Gharand 2 more
pā sakeñge na umr bhar jis ko
justujū aaj bhī usī kī hai
pa sakenge na umr bhar jis ko
justuju aaj bhi usi ki hai
tere baġhair bhī to ġhanīmat hai zindagī
ḳhud ko gañvā ke kaun tirī justujū kare
tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
KHud ko ganwa ke kaun teri justuju kare
-
Tag : Zindagi
tirī aarzū tirī justujū meñ bhaTak rahā thā galī galī
mirī dāstāñ tirī zulf hai jo bikhar bikhar ke sañvar ga.ī
teri aarzu teri justuju mein bhaTak raha tha gali gali
meri dastan teri zulf hai jo bikhar bikhar ke sanwar gai
justujū karnī har ik amr meñ nādānī hai
jo ki peshānī pe likkhī hai vo pesh aanī hai
justuju karni har ek amr mein nadani hai
jo ki peshani pe likkhi hai wo pesh aani hai
hai justujū ki ḳhuub se hai ḳhūb-tar kahāñ
ab Thahartī hai dekhiye jā kar nazar kahāñ
hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
varna insān mar gayā hotā
koī be-nām justujū hai abhī
warna insan mar gaya hota
koi be-nam justuju hai abhi
khoyā hai kuchh zarūr jo us kī talāsh meñ
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe haiñ ham
khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein
har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum
justujū kho.e huoñ kī umr bhar karte rahe
chāñd ke hamrāh ham har shab safar karte rahe
justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe
chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe
tamām umr ḳhushī kī talāsh meñ guzrī
tamām umr taraste rahe ḳhushī ke liye
tamam umr KHushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe KHushi ke liye
-
Tag : Khushi
tumhārī aarzū meñ maiñ ne apnī aarzū kī thī
ḳhud apnī justujū kā aap hāsil ho gayā huuñ maiñ
tumhaari aarzu mein main ne apni aarzu ki thi
KHud apni justuju ka aap hasil ho gaya hun main
talātum aarzū meñ hai na tūfāñ justujū meñ hai
javānī kā guzar jaanā hai dariyā kā utar jaanā
talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai
jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana
-
Tags : Aarzooand 3 more
jise tum DhūñDtī rahtī ho mujh meñ
vo laḌkā jaane kab kā mar chukā hai
jise tum DhunDti rahti ho mujh mein
wo laDka jaane kab ka mar chuka hai
ham ki māyūs nahīñ haiñ unheñ pā hī leñge
log kahte haiñ ki DhūñDe se ḳhudā miltā hai
hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge
log kahte hain ki DhunDe se KHuda milta hai
-
Tag : Khuda
tirī talāsh meñ nikle to itnī duur ga.e
ki ham se tai na hue fāsle judā.ī ke
teri talash mein nikle to itni dur gae
ki hum se tai na hue fasle judai ke
ye ḳhud-e-farebi-e-ehsās-e-ārzū to nahīñ
tirī talāsh kahīñ apnī justujū to nahīñ
ye KHud-e-farebi-e-ehsas-e-arzu to nahin
teri talash kahin apni justuju to nahin
nishān-e-manzil-e-jānāñ mile mile na mile
maze kī chiiz hai ye zauq-e-jushtujū merā
nishan-e-manzil-e-jaanan mile mile na mile
maze ki chiz hai ye zauq-e-jushtuju mera
mirī tarah se mah-o-mahr bhī haiñ āvāra
kisī habīb kī ye bhī haiñ justujū karte
meri tarah se mah-o-mahr bhi hain aawara
kisi habib ki ye bhi hain justuju karte
maiñ ye chāhtā huuñ ki umr-bhar rahe tishnagī mire ishq meñ
koī justujū rahe darmiyāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
main ye chahta hun ki umr-bhar rahe tishnagi mere ishq mein
koi justuju rahe darmiyan tere sath bhi tere baad bhi
-
Tag : Ishq
jis husn kī hai chashm-e-tamannā ko justujū
vo āftāb meñ hai na hai māhtāb meñ
jis husn ki hai chashm-e-tamanna ko justuju
wo aaftab mein hai na hai mahtab mein
mujh ko shauq-e-justujū-e-kā.enāt
ḳhaak se 'ādil' ḳhalā tak le gayā
mujh ko shauq-e-justuju-e-kaenat
KHak se 'adil' KHala tak le gaya
mohabbat ek tarah kī nirī samājat hai
maiñ chhoḌūñ huuñ tirī ab justujū huā so huā
mohabbat ek tarah ki niri samajat hai
main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua
umr-e-rafta jā kisī dīvār ke saa.e meñ baiTh
be-sabab kī ḳhvāhisheñ haiñ aur ghar kī justujū
umr-e-rafta ja kisi diwar ke sae mein baiTh
be-sabab ki KHwahishen hain aur ghar ki justuju
dar-ba-dar mārā-phirā maiñ justujū-e-yār meñ
zāhid-e-ka.aba huā rahbān-e-but-ḳhāna huā
dar-ba-dar mara-phira main justuju-e-yar mein
zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua