Khan Rizwan
Ghazal 24
Nazm 1
Sher-o-Shayari 8
ye ḳhadd-o-ḳhāl ye gesū ye sūrat-e-zebā
sabhī kā husn hai apnī jagah magar āñkheñ
ye KHadd-o-KHal ye gesu ye surat-e-zeba
sabhi ka husn hai apni jagah magar aankhen
-
Share this
- See Ghazal
kaun guzrā hai ye āñdhiyoñ kī tarah
sham.a-e-rāh-e-vafā ko bujhāte hue
kaun guzra hai ye aandhiyon ki tarah
shama-e-rah-e-wafa ko bujhate hue
-
Share this
- See Ghazal
kī hai sargoshī sar-e-shām mire dil ne phir
is liye ham ne lapeTā nahīñ bistar apnā
ki hai sargoshi sar-e-sham mere dil ne phir
is liye hum ne lapeTa nahin bistar apna
-
Share this
- See Ghazal
ham to apne qad ke barābar bhī na hue
log na jaane kaise ḳhudā ho jaate haiñ
hum to apne qad ke barabar bhi na hue
log na jaane kaise KHuda ho jate hain
-
Share this
- See Ghazal
Article 3
BOOKS 6
Videos 7
This video is playing from YouTube