Sher on Intezar
Intezar shayari aptly
captures the turmoil of a man while he is waiting for someone, something. Enjoy the outstanding urdu shayari that we have compiled for all those who are still waiting their turn.
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ
tū merā shauq dekh mirā intizār dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
mana ki teri did ke qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intizar dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
-
Tags : Famous shayariand 2 more
ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā
agar aur jiite rahte yahī intizār hotā
That my love be consummated, fate did not ordain
Living longer had I waited, would have been in vain
ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intizar hota
That my love be consummated, fate did not ordain
Living longer had I waited, would have been in vain
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ik raat vo gayā thā jahāñ baat rok ke
ab tak rukā huā huuñ vahīñ raat rok ke
ek raat wo gaya tha jahan baat rok ke
ab tak ruka hua hun wahin raat rok ke
guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale
gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
-
Tags : Famous shayariand 3 more
kab Thahregā dard ai dil kab raat basar hogī
sunte the vo ā.eñge sunte the sahar hogī
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
-
Tags : Dardand 2 more
ye kaisā nashsha hai maiñ kis ajab ḳhumār meñ huuñ
tū aa ke jā bhī chukā hai maiñ intizār meñ huuñ
ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
-
Tag : Bekhudi
na koī va.ada na koī yaqīñ na koī umiid
magar hameñ to tirā intizār karnā thā
no promise,surety, nor any hope was due
yet I had little choice but to wait for you
na koi wada na koi yaqin na koi umid
magar hamein to tera intizar karna tha
no promise,surety, nor any hope was due
yet I had little choice but to wait for you
-
Tags : Bharosaand 2 more
tere aane kī kyā umiid magar
kaise kah duuñ ki intizār nahīñ
tere aane ki kya umid magar
kaise kah dun ki intizar nahin
vo aa rahe haiñ vo aate haiñ aa rahe hoñge
shab-e-firāq ye kah kar guzār dī ham ne
wo aa rahe hain wo aate hain aa rahe honge
shab-e-firaq ye kah kar guzar di hum ne
mujhe ḳhabar thī mirā intizār ghar meñ rahā
ye hādsa thā ki maiñ umr bhar safar meñ rahā
mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
ye hadsa tha ki main umr bhar safar mein raha
jān-levā thiiñ ḳhvāhisheñ varna
vasl se intizār achchhā thā
jaan-lewa thin KHwahishen warna
wasl se intizar achchha tha
-
Tags : Aarzooand 1 more
vo na aa.egā hameñ ma.alūm thā is shaam bhī
intizār us kā magar kuchh soch kar karte rahe
wo na aaega hamein malum tha is sham bhi
intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
-
Tag : Shaam
ġhazab kiyā tire va.ade pe e'tibār kiyā
tamām raat qayāmat kā intizār kiyā
ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya
tamam raat qayamat ka intizar kiya
-
Tags : Bharosaand 1 more
jis kī āñkhoñ meñ kaTī thiiñ sadiyāñ
us ne sadiyoñ kī judā.ī dī hai
jis ki aankhon mein kaTi thin sadiyan
us ne sadiyon ki judai di hai
-
Tags : Hijrand 4 more
sau chāñd bhī chamkeñge to kyā baat banegī
tum aa.e to is raat kī auqāt banegī
sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
tum aae to is raat ki auqat banegi
-
Tags : Ishqand 3 more
jāntā hai ki vo na ā.eñge
phir bhī masrūf-e-intizār hai dil
jaanta hai ki wo na aaenge
phir bhi masruf-e-intizar hai dil
vo chāñd kah ke gayā thā ki aaj niklegā
to intizār meñ baiThā huā huuñ shaam se maiñ
wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega
to intizar mein baiTha hua hun sham se main
mujh ko ye aarzū vo uThā.eñ naqāb ḳhud
un ko ye intizār taqāzā kare koī
I had hoped she would unveil at her own behest
and she waits for someone to make a request
mujh ko ye aarzu wo uThaen naqab KHud
un ko ye intizar taqaza kare koi
I had hoped she would unveil at her own behest
and she waits for someone to make a request
is ummīd pe roz charāġh jalāte haiñ
aane vaale barsoñ ba.ad bhī aate haiñ
is ummid pe roz charagh jalate hain
aane wale barson baad bhi aate hain
-
Tag : Charagh
kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā
merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā
kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darwaza hawaon ne hilaya hoga
-
Tags : Aahatand 1 more
aap kā e'tibār kaun kare
roz kā intizār kaun kare
who can depend on what you say?
who will wait each every day?
aap ka e'tibar kaun kare
roz ka intizar kaun kare
who can depend on what you say?
who will wait each every day?
ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ
aise bhī haiñ ki kaT na sakī jin se ek raat
ek umr kaT gai hai tere intizar mein
aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat
-
Tags : Hijrand 1 more
hameñ bhī aaj hī karnā thā intizār us kā
use bhī aaj hī sab vaade bhuul jaane the
hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka
use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the
kahīñ vo aa ke miTā deñ na intizār kā lutf
kahīñ qubūl na ho jaa.e iltijā merī
let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy
kahin wo aa ke miTa den na intizar ka lutf
kahin qubul na ho jae iltija meri
let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy
-
Tag : Iltija
shab-e-intizār kī kashmakash meñ na pūchh kaise sahar huī
kabhī ik charāġh jalā diyā kabhī ik charāġh bujhā diyā
shab-e-intizar ki kashmakash mein na puchh kaise sahar hui
kabhi ek charagh jala diya kabhi ek charagh bujha diya
be-ḳhudī le ga.ī kahāñ ham ko
der se intizār hai apnā
be-KHudi le gai kahan hum ko
der se intizar hai apna
ab in hudūd meñ laayā hai intizār mujhe
vo aa bhī jaa.eñ to aa.e na e'tibār mujhe
ab in hudud mein laya hai intizar mujhe
wo aa bhi jaen to aae na e'tibar mujhe
ye daaġh daaġh ujālā ye shab-gazīda sahar
vo intizār thā jis kā ye vo sahar to nahīñ
ye dagh dagh ujala ye shab-gazida sahar
wo intizar tha jis ka ye wo sahar to nahin
-
Tag : Famous shayari
maiñ lauTne ke irāde se jā rahā huuñ magar
safar safar hai mirā intizār mat karnā
intent on returning
a journey is a journey so do not wait for me
main lauTne ke irade se ja raha hun magar
safar safar hai mera intizar mat karna
intent on returning
a journey is a journey so do not wait for me
-
Tag : Safar
jise na aane kī qasmeñ maiñ de ke aayā huuñ
usī ke qadmoñ kī aahaT kā intizār bhī hai
jise na aane ki qasmen main de ke aaya hun
usi ke qadmon ki aahaT ka intizar bhi hai
bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñ
kār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar
Why did you bid me leave from paradise for now
My work is yet unfinished here so you wil have to wait
bagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun
kar-e-jahan daraaz hai ab mera intizar kar
Why did you bid me leave from paradise for now
My work is yet unfinished here so you wil have to wait
ab kaun muntazir hai hamāre liye vahāñ
shaam aa ga.ī hai lauT ke ghar jaa.eñ ham to kyā
ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya
-
Tags : Gharand 1 more
koī ishāra dilāsā na koī va.ada magar
jab aa.ī shaam tirā intizār karne lage
koi ishaara dilasa na koi wada magar
jab aai sham tera intizar karne lage
maiñ ne samjhā thā ki lauT aate haiñ jaane vaale
tū ne jā kar to judā.ī mirī qismat kar dī
main ne samjha tha ki lauT aate hain jaane wale
tu ne ja kar to judai meri qismat kar di
-
Tag : Judai
aane meñ sadā der lagāte hī rahe tum
jaate rahe ham jaan se aate hī rahe tum
Delay in arriving always managed to contrive
this world I was leaving, yet you didn't arrive
aane mein sada der lagate hi rahe tum
jate rahe hum jaan se aate hi rahe tum
Delay in arriving always managed to contrive
this world I was leaving, yet you didn't arrive
tamām jism ko āñkheñ banā ke raah tako
tamām khel mohabbat meñ intizār kā hai
tamam jism ko aankhen bana ke rah tako
tamam khel mohabbat mein intizar ka hai
koī aayā na aa.egā lekin
kyā kareñ gar na intizār kareñ
she came not, nor is likely to
save waiting what else can I do
koi aaya na aaega lekin
kya karen gar na intizar karen
she came not, nor is likely to
save waiting what else can I do
hai ḳhushī intizār kī har dam
maiñ ye kyuuñ pūchhūñ kab mileñge aap
hai KHushi intizar ki har dam
main ye kyun puchhun kab milenge aap
muddat se ḳhvāb meñ bhī nahīñ niiñd kā ḳhayāl
hairat meñ huuñ ye kis kā mujhe intizār hai
muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal
hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai
bārhā terā intizār kiyā
apne ḳhvāboñ meñ ik dulhan kī tarah
barha tera intizar kiya
apne KHwabon mein ek dulhan ki tarah
ye intizār nahīñ sham.a hai rifāqat kī
is intizār se tanhā.ī ḳhūb-sūrat hai
ye intizar nahin shama hai rifaqat ki
is intizar se tanhai KHub-surat hai
-
Tag : Tanhai
maut kā intizār baaqī hai
aap kā intizār thā na rahā
maut ka intizar baqi hai
aap ka intizar tha na raha
-
Tag : Maut
darvāza khulā hai ki koī lauT na jaa.e
aur us ke liye jo kabhī aayā na gayā ho
darwaza khula hai ki koi lauT na jae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho
tamām umr tirā intizār ham ne kiyā
is intizār meñ kis kis se pyaar ham ne kiyā
tamam umr tera intizar hum ne kiya
is intizar mein kis kis se pyar hum ne kiya
-
Tags : Ishqand 1 more
un ke aane ke ba.ad bhī 'jālib'
der tak un kā intizār rahā
un ke aane ke baad bhi 'jalib'
der tak un ka intizar raha
kamāl-e-ishq to dekho vo aa ga.e lekin
vahī hai shauq vahī intizār baaqī hai
kamal-e-ishq to dekho wo aa gae lekin
wahi hai shauq wahi intizar baqi hai
-
Tag : Bekhudi
tere vaade ko kabhī jhuuT nahīñ samjhūñgā
aaj kī raat bhī darvāza khulā rakkhūñgā
tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga
aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga
-
Tag : Wada
baḌe tābāñ baḌe raushan sitāre TuuT jaate haiñ
sahar kī raah taknā tā sahar āsāñ nahīñ hotā
baDe taban baDe raushan sitare TuT jate hain
sahar ki rah takna ta sahar aasan nahin hota
o jaane vaale aa ki tire intizār meñ
raste ko ghar banā.e zamāne guzar ga.e
o jaane wale aa ki tere intizar mein
raste ko ghar banae zamane guzar gae