ALL
Profile
Ghazal116
Nazm433
Sher134
E-book1425
TOP 20 SHAYARI 21
Image Shayari22
Quote10
Audio58
Video118
Qita10
Rubai12
Qisse13
Gallery 10
Blog2
Other
Allama Iqbal
Ghazal 116
Nazm 433
Sher-o-Shayari 134
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
KHudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
KHuda bande se KHud puchhe bata teri raza kya hai
-
Share this
- See Ghazal
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ
tū merā shauq dekh mirā intizār dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
mana ki teri did ke qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intizar dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
-
Share this
- See Ghazal
tire ishq kī intihā chāhtā huuñ
mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
tere ishq ki intiha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
-
Share this
- See Ghazal
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
tu shahin hai parwaz hai kaam tera
tere samne aasman aur bhi hain
-
Share this
- See Ghazal
Quote 10
Yaqeen Eik Badi Taaqat Hai. Jab Main Dekhta Hun Ki Dusra Bhi Mere Afkaar Ka Muayyid Hai, To Uski Sadaaqat Ke Baare Mein Mera Etimaad Be-Intiha Badh Jaata Hai.
Yaqeen Eik Badi Taaqat Hai. Jab Main Dekhta Hun Ki Dusra Bhi Mere Afkaar Ka Muayyid Hai, To Uski Sadaaqat Ke Baare Mein Mera Etimaad Be-Intiha Badh Jaata Hai.
Qita 10
Rubai 12
Qisse 13
BOOKS 1425
Image Shayari 22
nahii.n teraa nasheman qasr-e-sultaanii ke gumbad par tuu shaahii.n hai baseraa kar pahaa.Do.n kii chaTaano.n me.n
qaum ne paiGaam-e-gautam kii zaraa parvaa na kii qadr pahchaanii na apne gauhar-e-yak-daana kii aah bad-qismat rahe aavaaz-e-haq se be-KHabar Gaafil apne phal kii shiiriinii se hotaa hai shajar aashkaar us ne kiyaa jo zindagii kaa raaz thaa hind ko lekin KHayaalii falsafa par naaz thaa sham-e-haq se jo munavvar ho ye vo mahfil na thii baarish-e-rahmat hu.ii lekin zamii.n qaabil na thii aah shuudar ke liye hindostaa.n Gam-KHaana hai dard-e-insaanii se is bastii kaa dil begaana hai barhaman sarshaar hai ab tak mai-e-pindaar me.n sham-e-gautam jal rahii hai mahfil-e-aGyaar me.n but-kada phir baad muddat ke magar raushan hu.aa nuur-e-ibraahiim se aazar kaa ghar raushan hu.aa phir uThii aaKHir sadaa tauhiid kii punjab se hind ko ik mard-e-kaamil ne jagaayaa KHvaab se
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho shorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraa aisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa ho martaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai merii daaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa ho aazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.n duniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa ho lazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.n chashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa ho gul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaa saaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa ho ho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaa sharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa ho maanuus is qadar ho suurat se merii bulbul nanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa ho saf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.n naddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa ho ho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaara paanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa ho aaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabza phir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa ho paanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahnii jaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa ho meh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan ko surKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa ho raato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis dam ummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa ho bijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa de jab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa ho pichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzin mai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa ho kaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.n rauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa ho phuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaane ronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa ho is KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naale taaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa ho har dardmand dil ko ronaa miraa rulaa de behosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
tujhe yaad kyaa nahii.n hai mire dil kaa vo zamaana vo adab-gah-e-mohabbat vo nigah kaa taaziyaana ye butaan-e-asr-e-haazir ki bane hai.n madrase me.n na adaa-e-kaafiraana na taraash-e-aazraana nahii.n is khulii fazaa me.n ko.ii gosha-e-faraaGat ye jahaa.n ajab jahaa.n hai na qafas na aashiyaana rag-e-taak muntazir hai tirii baarish-e-karam kii ki ajam ke mai-kado.n me.n na rahii mai-e-muGaana mire ham-safiir ise bhii asar-e-bahaar samjhe unhe.n kyaa KHabar ki kyaa hai ye navaa-e-aashiqaana mire KHaak o KHuu.n se tuu ne ye jahaa.n kiyaa hai paidaa sila-e-shahid kyaa hai tab-o-taab-e-jaavedaana tirii banda-parvarii se mire din guzar rahe hai.n na gila hai dosto.n kaa na shikaayat-e-zamaana
na tuu zamii.n ke liye hai na aasmaa.n ke liye jahaa.n hai tere liye tuu nahii.n jahaa.n ke liye ye aql o dil hai.n sharar shola-e-mohabbat ke vo KHaar-o-KHas ke liye hai ye niistaa.n ke liye maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chaman na sair-e-gul ke liye hai na aashiyaa.n ke liye rahegaa raavii o niil o furaat me.n kab tak tiraa safiina ki hai bahr-e-be-karaa.n ke liye nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaro.n ko taras ga.e hai.n kisii mard-e-raah-daa.n ke liye nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye zaraa sii baat thii andesha-e-ajam ne use ba.Dhaa diyaa hai faqat zeb-e-daastaa.n ke liye mire guluu me.n hai ik naGma jibra.iil-aashob sambhaal kar jise rakkhaa hai laa-makaa.n ke liye