Sher on Iltija
Entreaty, supplication,
or pleas are made quite often to gain a favour, or seek an answer. While all of us, at one time or the other, indulge into these, it is the lover who is destined to indulge into it to gain the beloved’s favour. Some verses around this theme are here for you to appraise and appreciate.
guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale
gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ik tarz-e-taġhāful hai so vo un ko mubārak
ik arz-e-tamannā hai so ham karte raheñge
ek tarz-e-taghaful hai so wo un ko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
kahīñ vo aa ke miTā deñ na intizār kā lutf
kahīñ qubūl na ho jaa.e iltijā merī
let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy
kahin wo aa ke miTa den na intizar ka lutf
kahin qubul na ho jae iltija meri
let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy
-
Tag : Intezar
ab to mil jaao hameñ tum ki tumhārī ḳhātir
itnī duur aa ga.e duniyā se kinārā karte
ab to mil jao hamein tum ki tumhaari KHatir
itni dur aa gae duniya se kinara karte
aao mil jaao ki ye vaqt na pāoge kabhī
maiñ bhī ham-rāh zamāne ke badal jā.ūñgā
aao mil jao ki ye waqt na paoge kabhi
main bhi ham-rah zamane ke badal jaunga
maanī haiñ maiñ ne saikaḌoñ bāteñ tamām umr
aaj aap ek baat mirī maan jā.iye
All my life I have agreed to everything you say
merely one request of mine please accept today
mani hain main ne saikaDon baaten tamam umr
aaj aap ek baat meri man jaiye
All my life I have agreed to everything you say
merely one request of mine please accept today
mere ghar ke tamām darvāze
tum se karte haiñ pyaar aa jaao
mere ghar ke tamam darwaze
tum se karte hain pyar aa jao
na durveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhānā
mujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānā
na durweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana
sitam hī karnā jafā hī karnā nigāh-e-ulfat kabhī na karnā
tumheñ qasam hai hamāre sar kī hamāre haq meñ kamī na karnā
sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna
tumhein qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna
bahut duur to kuchh nahīñ ghar mirā
chale aao ik din Tahalte hue
bahut dur to kuchh nahin ghar mera
chale aao ek din Tahalte hue
qubūl is bārgah meñ iltijā koī nahīñ hotī
ilāhī yā mujhī ko iltijā karnā nahīñ aatā
qubul is bargah mein iltija koi nahin hoti
ilahi ya mujhi ko iltija karna nahin aata
ishq meñ shikva kufr hai aur har iltijā harām
toḌ de kāsa-e-murād ishq gadāgarī nahīñ
ishq mein shikwa kufr hai aur har iltija haram
toD de kasa-e-murad ishq gadagari nahin
-
Tag : Shikwa
ishq ko naġhma-e-ummīd sunā de aa kar
dil kī soī huī qismat ko jagā de aa kar
ishq ko naghma-e-ummid suna de aa kar
dil ki soi hui qismat ko jaga de aa kar
-
Tags : Diland 1 more
ab to aa jaao rasm-e-duniyā kī
maiñ ne dīvār bhī girā dī hai
ab to aa jao rasm-e-duniya ki
main ne diwar bhi gira di hai