Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fuzail Jafri's Photo'

Fuzail Jafri

1936 - 2018 | Mumbai, India

Prominent modern critic from Mumbai

Prominent modern critic from Mumbai

Sher of Fuzail Jafri

5.7K
Favorite

SORT BY

zahr mīThā ho to piine meñ mazā aatā hai

baat sach kahiye magar yuuñ ki haqīqat na lage

zahr miTha ho to pine mein maza aata hai

baat sach kahiye magar yun ki haqiqat na lage

dasht-e-tanhā.ī meñ jiine salīqa sīkhiye

ye shikasta bām-o-dar bhī ham-safar ho jā.eñge

dasht-e-tanhai mein jine ka saliqa sikhiye

ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaenge

bose biivī ke hañsī bachchoñ āñkheñ maañ

qaid-ḳhāne meñ giraftār samajhiye ham ko

bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki

qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko

koī manzil āḳhirī manzil nahīñ hotī 'fuzail'

zindagī bhī hai misāl-e-mauj-e-dariyā rāh-rau

koi manzil aaKHiri manzil nahin hoti 'fuzail'

zindagi bhi hai misal-e-mauj-e-dariya rah-rau

bhūle-bisre hue ġham phir ubhar aate haiñ ka.ī

ā.īna dekheñ to chehre nazar aate haiñ ka.ī

bhule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai

aaina dekhen to chehre nazar aate hain kai

chamakte chāñd se chehroñ ke manzar se nikal aa.e

ḳhudā hāfiz kahā bosa liyā ghar se nikal aa.e

chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae

KHuda hafiz kaha bosa liya ghar se nikal aae

jo bhar bhī jaa.eñ dil ke zaḳhm dil vaisā nahīñ rahtā

kuchh aise chaak hote haiñ jo juḌ kar bhī nahīñ silte

jo bhar bhi jaen dil ke zaKHm dil waisa nahin rahta

kuchh aise chaak hote hain jo juD kar bhi nahin silte

ghar se bāhar nahīñ niklā jaatā

raushnī yaad dilātī hai tirī

ghar se bahar nahin nikla jata

raushni yaad dilati hai teri

kis dard se raushan hai siyah-ḳhāna-e-hastī

sūraj nazar aatā hai hameñ raat ga.e bhī

kis dard se raushan hai siyah-KHana-e-hasti

suraj nazar aata hai hamein raat gae bhi

ātish-fishāñ zabāñ nahīñ thī badan bhī thā

dariyā jo munjamid hai kabhī maujzan bhī thā

aatish-fishan zaban hi nahin thi badan bhi tha

dariya jo munjamid hai kabhi maujzan bhi tha

tire badan meñ mere ḳhvāb muskurāte haiñ

dikhā kabhī mere ḳhvāboñ ā.īna mujh ko

tere badan mein mere KHwab muskuraate hain

dikha kabhi mere KHwabon ka aaina mujh ko

mizāj alag sahī ham donoñ kyuuñ alag hoñ ki haiñ

sarāb o aab meñ poshīda qurbateñ kyā kyā

mizaj alag sahi hum donon kyun alag hon ki hain

sarab o aab mein poshida qurbaten kya kya

har aadmī meñ the do chaar aadmī pinhāñ

kisī ko DhūñDne niklā koī milā mujh ko

har aadmi mein the do chaar aadmi pinhan

kisi ko DhunDne nikla koi mila mujh ko

ye sach hai ham ko bhī khone paḌe kuchh ḳhvāb kuchh rishte

ḳhushī is hai lekin halqa-e-shar se nikal aa.e

ye sach hai hum ko bhi khone paDe kuchh KHwab kuchh rishte

KHushi is ki hai lekin halqa-e-shar se nikal aae

ik ḳhauf daraḳhtoñ pe taarī thā rāt-bhar

patte laraz rahe the havā ke baġhair bhī

ek KHauf sa daraKHton pe tari tha raat-bhar

patte laraz rahe the hawa ke baghair bhi

zid meñ duniyā bahar-hāl milā karte the

varna ham donoñ meñ aisī koī ulfat bhī na thī

zid mein duniya ki bahar-haal mila karte the

warna hum donon mein aisi koi ulfat bhi na thi

aḳhlāq o sharāfat añdherā hai vo ghar meñ

jalte nahīñ ma.asūm gunāhoñ ke diye bhī

aKHlaq o sharafat ka andhera hai wo ghar mein

jalte nahin masum gunahon ke diye bhi

āThoñ pahr lahū meñ nahāyā kare koī

yuuñ bhī na apne dard ko dariyā kare koī

aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi

yun bhi na apne dard ko dariya kare koi

ta.alluqāt tanqīd se hai yārāna

kisī zikr kare kaun ehtisāb ke saath

talluqat ka tanqid se hai yarana

kisi ka zikr kare kaun ehtisab ke sath

dil yuuñ to gaah gaah sulagtā hai aaj bhī

manzar magar vo raqs-e-sharar nahīñ rahā

dil yun to gah gah sulagta hai aaj bhi

manzar magar wo raqs-e-sharar ka nahin raha

manzileñ samteñ badaltī rahī haiñ roz o shab

is bharī duniyā meñ hai insān tanhā rāh-rau

manzilen samten badalti ja rahi hain roz o shab

is bhari duniya mein hai insan tanha rah-rau

ehsās-e-jurm jaan dushman hai 'ja.afarī'

hai jism taar taar sazā ke baġhair bhī

ehsas-e-jurm jaan ka dushman hai 'jafari'

hai jism tar tar saza ke baghair bhi

maiñ aur mirī zaat agar ek shai haiñ

phir barsoñ se donoñ meñ saf-ārā.ī kyuuñ hai

main aur meri zat agar ek hi shai hain

phir barson se donon mein saf-arai si kyun hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now