sar-e-sahra-e-duniya phul yun hi to nahin khilte
sar-e-sahrā-e-duniyā phuul yuuñ hī to nahīñ khilte
diloñ ko jītnā paḌtā hai tohfe meñ nahīñ malte
ye kyā manzar hai jaise so ga.ī hoñ soch kī lahreñ
ye kaisī shām-e-tanhā.ī hai patte tak nahīñ hilte
mazā jab thā ki botal se ubaltī phailtī rut meñ
dhuāñ sāñsoñ se uThtā garm bosoñ se badan chhilte
jo bhar bhī jaa.eñ dil ke zaḳhm dil vaisā nahīñ rahtā
kuchh aise chaak hote haiñ jo juḌ kar bhī nahīñ silte
sar-e-sahra-e-duniya phul yun hi to nahin khilte
dilon ko jitna paDta hai tohfe mein nahin malte
ye kya manzar hai jaise so gai hon soch ki lahren
ye kaisi sham-e-tanhai hai patte tak nahin hilte
maza jab tha ki botal se ubalti phailti rut mein
dhuan sanson se uThta garm boson se badan chhilte
jo bhar bhi jaen dil ke zaKHm dil waisa nahin rahta
kuchh aise chaak hote hain jo juD kar bhi nahin silte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.