gir bhi jaen to na mismar samajhiye hum ko
gir bhī jaa.eñ to na mismār samajhiye ham ko
raushnī sī pas-e-dīvār samajhiye ham ko
ham bhī āḳhir haiñ yake-az-mutavassit tabqa
maut ke baad bhī bīmār samajhiye ham ko
bose biivī ke hañsī bachchoñ kī āñkheñ maañ kī
qaid-ḳhāne meñ giraftār samajhiye ham ko
vaqt māsūm-o-jarī rūhoñ ke darpai hai 'fuzail'
zinda jab tak haiñ sar-e-dār samajhiye ham ko
gir bhi jaen to na mismar samajhiye hum ko
raushni si pas-e-diwar samajhiye hum ko
hum bhi aaKHir hain yake-az-mutawassit tabqa
maut ke baad bhi bimar samajhiye hum ko
bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko
waqt masum-o-jari ruhon ke darpai hai 'fuzail'
zinda jab tak hain sar-e-dar samajhiye hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.