ghar se be-zar hun college mein tabiat na lage
ghar se be-zār huuñ college meñ tabī.at na lage
itnī achchhī bhī kisī shaḳhs kī sūrat na lage
ek ik inch pe us jism ke sattar sattar
bose liije to bhalā kyuuñ vo qayāmat na lage
zahr mīThā ho to piine meñ mazā aatā hai
baat sach kahiye magar yuuñ ki haqīqat na lage
ā.īna-aks mire haath tajallī ġhā.eb
mere dushman ko bhī yā-rab mirī aadat na lage
ghar se be-zar hun college mein tabiat na lage
itni achchhi bhi kisi shaKHs ki surat na lage
ek ek inch pe us jism ke sattar sattar
bose lije to bhala kyun wo qayamat na lage
zahr miTha ho to pine mein maza aata hai
baat sach kahiye magar yun ki haqiqat na lage
aaina-aks mere hath tajalli ghaeb
mere dushman ko bhi ya-rab meri aadat na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.