subh tak hum raat ka zad-e-safar ho jaenge
sub.h tak ham raat kā zād-e-safar ho jā.eñge
tujh se ham-āġhosh ho kar muntashar ho jā.eñge
dhuup sahrā tan barahna ḳhvāhisheñ yādoñ ke khet
shaam aate hī ġhubār-e-rah-guzar ho jā.eñge
dasht-e-tanhā.ī meñ jiine kā salīqa sīkhiye
ye shikasta bām-o-dar bhī ham-safar ho jā.eñge
shorish-e-duniyā ko āhista-ravī kā hukm ho
nazr-e-ḳhair-o-shar tire shorīda-sar ho jā.eñge
ye jo haiñ do-chār shurafā-e-avadh aḳhtar-shanās
kuchh dinoñ meñ ye bhī aurāq-e-digar ho jā.eñge
subh tak hum raat ka zad-e-safar ho jaenge
tujh se ham-aghosh ho kar muntashar ho jaenge
dhup sahra tan barahna KHwahishen yaadon ke khet
sham aate hi ghubar-e-rah-guzar ho jaenge
dasht-e-tanhai mein jine ka saliqa sikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaenge
shorish-e-duniya ko aahista-rawi ka hukm ho
nazr-e-KHair-o-shar tere shorida-sar ho jaenge
ye jo hain do-chaar shurafa-e-awadh aKHtar-shanas
kuchh dinon mein ye bhi auraq-e-digar ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.