qadam qadam pe hain bikhri haqiqaten kya kya
qadam qadam pe haiñ bikhrī haqīqateñ kyā kyā
buzurg chhoḌ ga.e haiñ shahādateñ kyā kyā
maiñ tāza-dam bhī huuñ bechain bhī havā kī tarah
mire qadam se haiñ lipTī rivāyateñ kyā
mizāj alag sahī ham donoñ kyuuñ alag hoñ ki haiñ
sarāb o aab meñ poshīda qurbateñ kyā kyā
karam inaad ḳhushī ġham asīr-e-māyūsī
diloñ ko detī hai duniyā bhī dāvateñ kyā kyā
maiñ baaz aayā na laḌne se haar kar bhī 'fuzail'
mire ḳhudā kī haiñ mujh par ināyateñ kyā kyā
qadam qadam pe hain bikhri haqiqaten kya kya
buzurg chhoD gae hain shahadaten kya kya
main taza-dam bhi hun bechain bhi hawa ki tarah
mere qadam se hain lipTi riwayaten kya
mizaj alag sahi hum donon kyun alag hon ki hain
sarab o aab mein poshida qurbaten kya kya
karam inad KHushi gham asir-e-mayusi
dilon ko deti hai duniya bhi dawaten kya kya
main baz aaya na laDne se haar kar bhi 'fuzail'
mere KHuda ki hain mujh par inayaten kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.