Sher on Waiz
Sermoniser is an important
institution/character of classical Urdu poetry. We come across him along with other such institutions/characters like a drunkard, lover, and beloved. He preaches for maintaining honesty and purity and speaks against drinking wine and indulging in sensual activities. Interestingly, he himself falls a prey to follies that he preaches against. This is why a sermoniser becomes an object of satire, as well as of laughter in poetry. Here are some interesting couplets that bring this character alive to you.
kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza 'ġhālib' aur kahāñ vaa.iz
par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle
Wherefrom the 'saintly' priest, and where the tavern's door
But as I entered he was leaving, this much I do know
kahan mai-KHane ka darwaza 'ghaalib' aur kahan waiz
par itna jaante hain kal wo jata tha ki hum nikle
Wherefrom the 'saintly' priest, and where the tavern's door
But as I entered he was leaving, this much I do know
'zauq' jo madrase ke bigḌe hue haiñ mullā
un ko mai-ḳhāne meñ le aao sañvar jā.eñge
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mulla
un ko mai-KHane mein le aao sanwar jaenge
-
Tag : Maikada
umīd-e-hūr ne sab kuchh sikhā rakkhā hai vaa.iz ko
ye hazrat dekhne meñ sīdhe-sāde bhole-bhāle haiñ
umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai waiz ko
ye hazrat dekhne mein sidhe-sade bhole-bhaale hain
kidhar se barq chamaktī hai dekheñ ai vaa.iz
maiñ apnā jaam uThātā huuñ tū kitāb uThā
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai waiz
main apna jam uThata hun tu kitab uTha
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
-
Tags : Kitaband 1 more
javānī ko bachā sakte to haiñ har daaġh se vaa.iz
magar aisī javānī ko javānī kaun kahtā hai
jawani ko bacha sakte to hain har dagh se waiz
magar aisi jawani ko jawani kaun kahta hai
sadāqat ho to dil sīnoñ se khiñchne lagte haiñ vaa.iz
haqīqat ḳhud ko manvā letī hai maanī nahīñ jaatī
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz
haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati
-
Tag : Sach
pī shauq se vaa.iz are kyā baat hai Dar kī
dozaḳh tire qabze meñ hai jannat tire ghar kī
pi shauq se waiz are kya baat hai Dar ki
dozaKH tere qabze mein hai jannat tere ghar ki
-
Tag : Sharab
gunāhgār ke dil se na bach ke chal zāhid
yahīñ kahīñ tirī jannat bhī paa.ī jaatī hai
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid
yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai
-
Tag : Jannat
apnī jannat mujhe dikhlā na sakā tū vaa.iz
kūcha-e-yār meñ chal dekh le jannat merī
apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz
kucha-e-yar mein chal dekh le jannat meri
-
Tag : Jannat
terī masjid meñ vaa.iz ḳhaas haiñ auqāt rahmat ke
hamāre mai-kade meñ raat din rahmat barastī hai
teri masjid mein waiz KHas hain auqat rahmat ke
hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai
mirī sharāb kī tauba pe jā na ai vaa.iz
nashe kī baat nahīñ e'tibār ke qābil
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
muñh meñ vaa.iz ke bhī bhar aatā hai paanī aksar
jab kabhī tazkira-e-jām-e-sharāb aatā hai
munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
-
Tag : Sharab
vaa.iz na tum piyo na kisī ko pilā sako
kyā baat hai tumhārī sharāb-e-tuhūr kī
waiz na tum piyo na kisi ko pila sako
kya baat hai tumhaari sharab-e-tuhur ki
-
Tag : Sharab
kahte haiñ jis ko jannat vo ik jhalak hai terī
sab vā.izoñ kī baaqī rañgīñ-bayāniyāñ haiñ
kahte hain jis ko jannat wo ek jhalak hai teri
sab waizon ki baqi rangin-bayaniyan hain
aa.eñ haiñ samjhāne log
haiñ kitne dīvāne log
people come to counsel me
how silly, crazy can they be
aaen hain samjhane log
hain kitne diwane log
people come to counsel me
how silly, crazy can they be
dhoke se pilā dī thī use bhī koī do ghūñT
pahle se bahut narm hai vaa.iz kī zabāñ ab
through guile we have managed to ply him with
now the priest's tone is much gentler than before
dhoke se pila di thi use bhi koi do ghunT
pahle se bahut narm hai waiz ki zaban ab
through guile we have managed to ply him with
now the priest's tone is much gentler than before
vaa.iz mai-e-tuhūr jo piinā hai ḳhuld meñ
aadat abhī se Daal rahā huuñ sharāb kī
waiz mai-e-tuhur jo pina hai KHuld mein
aadat abhi se Dal raha hun sharab ki
sanam-parastī karūñ tark kyūñkar ai vaa.iz
butoñ kā zikr ḳhudā kī kitāb meñ dekhā
sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz
buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha
vaa.iz kī āñkheñ khul ga.iiñ piite hī sāqiyā
ye jām-e-mai thā yā koī dariyā-e-nūr thā
waiz ki aankhen khul gain pite hi saqiya
ye jam-e-mai tha ya koi dariya-e-nur tha
-
Tags : Saqiand 1 more
tashrīf laao kūcha-e-rindāñ meñ vā.izo
sīdhī sī raah tum ko batā deñ najāt kī
tashrif lao kucha-e-rindan mein waizo
sidhi si rah tum ko bata den najat ki
na vaa.iz hajv kar ek din duniyā se jaanā hai
are muñh sāqi-e-kausar ko bhī āḳhir dikhānā hai
na waiz hajw kar ek din duniya se jaana hai
are munh saqi-e-kausar ko bhi aaKHir dikhana hai
mujhe kāfir hī batātā hai ye vaa.iz kam-baḳht
maiñ ne bandoñ meñ ka.ī baar ḳhudā ko dekhā
mujhe kafir hi batata hai ye waiz kam-baKHt
main ne bandon mein kai bar KHuda ko dekha
niyāz-e-be-ḳhudī behtar namāz-e-ḳhud-numā.ī siiñ
na kar ham puḳhta-maġhzoñ siiñ ḳhayāl-e-ḳhām ai vaa.iz
niyaz-e-be-KHudi behtar namaz-e-KHud-numai sin
na kar hum puKHta-maghzon sin KHayal-e-KHam ai waiz
talḳhī tumhāre va.az meñ hai vā.izo magar
dekho to kis maze kī hai talḳhī sharāb meñ
talKHi tumhaare waz mein hai waizo magar
dekho to kis maze ki hai talKHi sharab mein
vaa.iz o mohtasib kā jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na rahā
waiz o mohtasib ka jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na raha
-
Tag : Maikada
koī ilāj-e-ġham-e-zindagī batā vaa.iz
sune hue jo fasāne haiñ phir sunā na mujhe
koi ilaj-e-gham-e-zindagi bata waiz
sune hue jo fasane hain phir suna na mujhe
kyā madrase meñ dahr ke ulTī havā bahī
vaa.iz nahī ko amr kahe amr ko nahī
kya madrase mein dahr ke ulTi hawa bahi
waiz nahi ko amr kahe amr ko nahi