Sher on But
But, or statue, is more
a metaphor and symbol than merely an image. Poetry of love and romance in Urdu draws upon the idea and image of butt quite frequently. The beloved as a butt can be silent, unconcerned, and uncaring for the lover who adores her beauty and yearns for her response. Here is a selection of verses on this theme for you to read and enjoy.
vafā jis se kī bevafā ho gayā
jise but banāyā ḳhudā ho gayā
I was constant but she eschewed fidelity
the one I idolized, alas, claimed divinity
wafa jis se ki bewafa ho gaya
jise but banaya KHuda ho gaya
I was constant but she eschewed fidelity
the one I idolized, alas, claimed divinity
-
Tags : Khudaand 1 more
vo din ga.e ki 'dāġh' thī har dam butoñ kī yaad
paḌhte haiñ pāñch vaqt kī ab to namāz ham
wo din gae ki 'dagh' thi har dam buton ki yaad
paDhte hain panch waqt ki ab to namaz hum
-
Tag : Yaad
do hī din meñ ye sanam hosh-rubā hote haiñ
kal ke tarshe hue but aaj ḳhudā hote haiñ
do hi din mein ye sanam hosh-ruba hote hain
kal ke tarshe hue but aaj KHuda hote hain
ham aise sāda-diloñ kī niyāz-mandī se
butoñ ne kī haiñ jahāñ meñ ḳhudā.iyāñ kyā kyā
hum aise sada-dilon ki niyaz-mandi se
buton ne ki hain jahan mein KHudaiyan kya kya
kyūñkar us but se rakhūñ jaan aziiz
kyā nahīñ hai mujhe īmān aziiz
kyunkar us but se rakhun jaan aziz
kya nahin hai mujhe iman aziz
ilāhī ek dil kis kis ko duuñ maiñ
hazāroñ but haiñ yaañ hindostān hai
ilahi ek dil kis kis ko dun main
hazaron but hain yan hindostan hai
-
Tags : Diland 1 more
chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir kā pūjnā
chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair
To stop worshipping that idol fair, I will not agree
And this world will not refrain from crying heresy!
chhoDunga main na us but-e-kafir ka pujna
chhoDe na KHalq go mujhe kafar kahe baghair
To stop worshipping that idol fair, I will not agree
And this world will not refrain from crying heresy!
nahīñ ye aadmī kā kaam vaa.iz
hamāre but tarāshe haiñ ḳhudā ne
nahin ye aadmi ka kaam waiz
hamare but tarashe hain KHuda ne
sanam-parastī karūñ tark kyūñkar ai vaa.iz
butoñ kā zikr ḳhudā kī kitāb meñ dekhā
sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz
buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha
ho ga.e nām-e-butāñ sunte hī 'momin' be-qarār
ham na kahte the ki hazrat pārsā kahne ko haiñ
ho gae nam-e-butan sunte hi 'momin' be-qarar
hum na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain
aap karte jo ehtirām-e-butāñ
but-kade ḳhud ḳhudā ḳhudā karte
aap karte jo ehtiram-e-butan
but-kade KHud KHuda KHuda karte
-
Tag : Khuda
be-ḳhudī meñ ham to terā dar samajh kar jhuk ga.e
ab ḳhudā ma.alūm ka.aba thā ki vo but-ḳhāna thā
be-KHudi mein hum to tera dar samajh kar jhuk gae
ab KHuda malum kaba tha ki wo but-KHana tha
but kahte haiñ kyā haal hai kuchh muñh se to bolo
ham kahte haiñ suntā nahīñ allāh hamārī
but kahte hain kya haal hai kuchh munh se to bolo
hum kahte hain sunta nahin allah hamari
but nazar ā.eñge māshūqoñ kī kasrat hogī
aaj but-ḳhāna meñ allāh kī qudrat hogī
but nazar aaenge mashuqon ki kasrat hogi
aaj but-KHana mein allah ki qudrat hogi
Thahrī jo vasl kī to huī sub.h shaam se
but mehrbāñ hue to ḳhudā mehrbāñ na thā
Thahri jo wasl ki to hui subh sham se
but mehrban hue to KHuda mehrban na tha
-
Tags : Khudaand 1 more
butoñ ko toḌ ke aisā ḳhudā banānā kyā
butoñ kī tarah jo ham-shakl aadmī kā ho
buton ko toD ke aisa KHuda banana kya
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho
but ko pūjūñgā sanam-ḳhānoñ meñ jā jā ke to maiñ
us ke pīchhe mirā īmān rahe yā na rahe
but ko pujunga sanam-KHanon mein ja ja ke to main
us ke pichhe mera iman rahe ya na rahe
apnī marzī to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzī hai ḳhudā kī so ḳhudā hī jaane
apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane
ta.ana-zan kufr pe hotā hai abas ai zāhid
but-parastī hai tire zohd-e-riyā se behtar
tana-zan kufr pe hota hai abas ai zahid
but-parasti hai tere zohd-e-riya se behtar
jo ki sajda na kare but ko mire mashrab meñ
āqibat us kī kisī taur se mahmūd nahīñ
jo ki sajda na kare but ko mere mashrab mein
aaqibat us ki kisi taur se mahmud nahin