Sher on Khat
In olden times, when
the means of communication were much limited, a letter was the only way to connect. One waited for many days and months to receive a message. The letters of lovers to each other were of greater significance as they represented their pain and pining. There are frequent references to letters in the classical poetry of Urdu. Here, we have collected some verses that would interest you for a variety of reasons.
nā-umīdī maut se kahtī hai apnā kaam kar
aas kahtī hai Thahar ḳhat kā javāb aane ko hai
na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar
aas kahti hai Thahar KHat ka jawab aane ko hai
-
Tags : Mautand 2 more
kyā jaane kyā likhā thā use iztirāb meñ
qāsid kī laash aa.ī hai ḳhat ke javāb meñ
kya jaane kya likha tha use iztirab mein
qasid ki lash aai hai KHat ke jawab mein
qāsid ke aate aate ḳhat ik aur likh rakhūñ
maiñ jāntā huuñ jo vo likheñge javāb meñ
ere the messenger returns, another letter I
should prepare,I am aware, what she will reply
qasid ke aate aate KHat ek aur likh rakhun
main jaanta hun jo wo likhenge jawab mein
ere the messenger returns, another letter I
should prepare,I am aware, what she will reply
añdherā hai kaise tirā ḳhat paḌhūñ
lifāfe meñ kuchh raushnī bhej de
andhera hai kaise tera KHat paDhun
lifafe mein kuchh raushni bhej de
chand tasvīr-e-butāñ chand hasīnoñ ke ḳhutūt
ba.ad marne ke mire ghar se ye sāmāñ niklā
chand taswir-e-butan chand hasinon ke KHutut
baad marne ke mere ghar se ye saman nikla
-
Tag : Famous shayari
ek muddat se na qāsid hai na ḳhat hai na payām
apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
ek muddat se na qasid hai na KHat hai na payam
apne wade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
ġhusse meñ barhamī meñ ġhazab meñ itaab meñ
ḳhud aa ga.e haiñ vo mire ḳhat ke javāb meñ
ghusse mein barhami mein ghazab mein itab mein
KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein
maiñ ne us kī taraf se ḳhat likkhā
aur apne pate pe bhej diyā
main ne us ki taraf se KHat likkha
aur apne pate pe bhej diya
kaafī hai mire dil kī tasallī ko yahī baat
aap aa na sake aap kā paiġhām to aayā
kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigham to aaya
-
Tags : Ishqand 1 more
nāma-bar tū hī batā tū ne to dekhe hoñge
kaise hote haiñ vo ḳhat jin ke javāb aate haiñ
o messenger do tell me you surely have espied
what sort of messages are those that get replied
nama-bar tu hi bata tu ne to dekhe honge
kaise hote hain wo KHat jin ke jawab aate hain
o messenger do tell me you surely have espied
what sort of messages are those that get replied
-
Tag : Qasid
tumhāre ḳhat meñ nazar aa.ī itnī ḳhāmoshī
ki mujh ko rakhne paḌe apne kaan kāġhaz par
tumhaare KHat mein nazar aai itni KHamoshi
ki mujh ko rakhne paDe apne kan kaghaz par
-
Tag : Khamoshi
mirā ḳhat us ne paḌhā paḌh ke nāma-bar se kahā
yahī javāb hai is kā koī javāb nahīñ
mera KHat us ne paDha paDh ke nama-bar se kaha
yahi jawab hai is ka koi jawab nahin
ḳhat likheñge garche matlab kuchh na ho
ham to āshiq haiñ tumhāre naam ke
KHat likhenge garche matlab kuchh na ho
hum to aashiq hain tumhaare nam ke
chuuñ sham-e-sozāñ chuuñ zarra hairāñ ze mehr-e-āñ-mah bagashtam āḳhir
na niiñd naināñ na añg chaināñ na aap aave na bheje patiyāñ
chun sham-e-sozan chun zarra hairan ze mehr-e-an-mah bagashtam aaKHir
na nind nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ashkoñ ke nishāñ parcha-e-sāda pe haiñ qāsid
ab kuchh na bayāñ kar ye ibārat hī bahut hai
ashkon ke nishan parcha-e-sada pe hain qasid
ab kuchh na bayan kar ye ibarat hi bahut hai
tirā ḳhat aane se dil ko mere ārām kyā hogā
ḳhudā jaane ki is āġhāz kā anjām kyā hogā
tera KHat aane se dil ko mere aaram kya hoga
KHuda jaane ki is aaghaz ka anjam kya hoga
mazmūn sūjhte haiñ hazāroñ na.e na.e
qāsid ye ḳhat nahīñ mire ġham kī kitāb hai
mazmun sujhte hain hazaron nae nae
qasid ye KHat nahin mere gham ki kitab hai
kyā kyā fareb dil ko diye iztirāb meñ
un kī taraf se aap likhe ḳhat javāb meñ
kya kya fareb dil ko diye iztirab mein
un ki taraf se aap likhe KHat jawab mein
kaise māneñ ki unheñ bhuul gayā tū ai 'kaif'
un ke ḳhat aaj hameñ tere sirhāne se mile
kaise manen ki unhen bhul gaya tu ai 'kaif'
un ke KHat aaj hamein tere sirhane se mile
ham pe jo guzrī batāyā na batā.eñge kabhī
kitne ḳhat ab bhī tire naam likhe rakkhe haiñ
hum pe jo guzri bataya na bataenge kabhi
kitne KHat ab bhi tere nam likhe rakkhe hain
us ne ye kah kar pher diyā ḳhat
ḳhuun se kyuuñ tahrīr nahīñ hai
us ne ye kah kar pher diya KHat
KHun se kyun tahrir nahin hai
ruuh ghabrā.ī huī phirtī hai merī laash par
kyā janāze par mere ḳhat kā javāb aane ko hai
ruh ghabrai hui phirti hai meri lash par
kya janaze par mere KHat ka jawab aane ko hai
miT chale merī umīdoñ kī tarah harf magar
aaj tak tere ḳhatoñ se tirī ḳhushbū na ga.ī
miT chale meri umidon ki tarah harf magar
aaj tak tere KHaton se teri KHushbu na gai
ḳhat dekh kar mirā mire qāsid se yuuñ kahā
kyā gul nahīñ huā vo charāġh-e-sahar hanūz
KHat dekh kar mera mere qasid se yun kaha
kya gul nahin hua wo charagh-e-sahar hanuz
kabhī ye fikr ki vo yaad kyuuñ kareñge hameñ
kabhī ḳhayāl ki ḳhat kā javāb aa.egā
kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein
kabhi KHayal ki KHat ka jawab aaega
le ke ḳhat un kā kiyā zabt bahut kuchh lekin
thartharāte hue hāthoñ ne bharam khol diyā
le ke KHat un ka kiya zabt bahut kuchh lekin
thartharaate hue hathon ne bharam khol diya
khulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā rab
qasam khaa.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kī
khulega kis tarah mazmun mere maktub ka ya rab
qasam khai hai us kafir ne kaghaz ke jalane ki
koī purānā ḳhat kuchh bhūlī-bisrī yaad
zaḳhmoñ par vo lamhe marham hote haiñ
koi purana KHat kuchh bhuli-bisri yaad
zaKHmon par wo lamhe marham hote hain
-
Tag : Yaad
pahlī baar vo ḳhat likkhā thā
jis kā javāb bhī aa saktā thā
pahli bar wo KHat likkha tha
jis ka jawab bhi aa sakta tha
vo taḌap jaa.e ishāra koī aisā denā
us ko ḳhat likhnā to merā bhī havāla denā
wo taDap jae ishaara koi aisa dena
us ko KHat likhna to mera bhi hawala dena
kisī ko bhej ke ḳhat haa.e ye kaisā azaab aayā
ki har ik pūchhtā hai nāma-bar aayā javāb aayā
kisi ko bhej ke KHat hae ye kaisa azab aaya
ki har ek puchhta hai nama-bar aaya jawab aaya
phaaḌ kar ḳhat us ne qāsid se kahā
koī paiġhām-e-zabānī aur hai
phaD kar KHat us ne qasid se kaha
koi paigham-e-zabani aur hai
aayā na phir ke ek bhī kūche se yaar ke
qāsid gayā nasīm ga.ī nāma-bar gayā
aaya na phir ke ek bhi kuche se yar ke
qasid gaya nasim gai nama-bar gaya
zabāñ qāsid kī 'muztar' kaaT lī jab un ko ḳhat bhejā
ki āḳhir aadmī hai tazkira shāyad kahīñ kar de
zaban qasid ki 'muztar' kaT li jab un ko KHat bheja
ki aaKHir aadmi hai tazkira shayad kahin kar de
apnā ḳhat aap diyā un ko magar ye kah kar
ḳhat to pahchāniye ye ḳhat mujhe gumnām milā
apna KHat aap diya un ko magar ye kah kar
KHat to pahchaniye ye KHat mujhe gumnam mila
kisī nā-ḳhvāñda būḌhe kī tarah ḳhat us kā paḌhtā huuñ
ki sau sau baar ik ik lafz se uñglī guzartī hai
kisi na-KHwanda buDhe ki tarah KHat us ka paDhta hun
ki sau sau bar ek ek lafz se ungli guzarti hai
ḳhat likhā yaar ne raqīboñ ko
zindagī ne diyā javāb mujhe
KHat likha yar ne raqibon ko
zindagi ne diya jawab mujhe
kyā bhuul ga.e haiñ vo mujhe pūchhnā qāsid
naama koī muddat se mire kaam na aayā
kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid
nama koi muddat se mere kaam na aaya
tumheñ ye ġham hai ki ab chiTThiyāñ nahīñ ātīñ
hamārī socho hameñ hichkiyāñ nahīñ ātīñ
tumhein ye gham hai ki ab chiTThiyan nahin aatin
hamari socho hamein hichkiyan nahin aatin
ḳhat-e-shauq ko paḌh ke qāsid se bole
ye hai kaun dīvāna ḳhat likhne vaalā
KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole
ye hai kaun diwana KHat likhne wala
-
Tag : Qasid
yā us se javāb-e-ḳhat laanā yā qāsid itnā kah denā
bachne kā nahīñ bīmār tirā irshād agar kuchh bhī na huā
ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua
-
Tag : Qasid
ho chukā aish kā jalsa to mujhe ḳhat bhejā
aap kī tarah se mehmān bulā.e koī
ho chuka aish ka jalsa to mujhe KHat bheja
aap ki tarah se mehman bulae koi
qayāmat hai ye kah kar us ne lauTāyā hai qāsid ko
ki un kā to har ik ḳhat āḳhirī paiġhām hotā hai
qayamat hai ye kah kar us ne lauTaya hai qasid ko
ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai
jab us ne mirā ḳhat na chhuā haath se apne
qāsid ne bhī chipkā diyā dīvār se kāġhaz
jab us ne mera KHat na chhua hath se apne
qasid ne bhi chipka diya diwar se kaghaz
patā miltā nahīñ us be-nishāñ kā
liye phirtā hai qāsid jā-ba-jā ḳhat
pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat
-
Tag : Qasid
ḳhat ke purze aa.e haiñ qāsid kā sar tasvīr-e-ġhair
ye hai bhejā us sitamgar ne mire ḳhat kā javāb
KHat ke purze aae hain qasid ka sar taswir-e-ghair
ye hai bheja us sitamgar ne mere KHat ka jawab
tavaqqo.a hai dhoke meñ aa kar vo paḌh leñ
ki likkhā hai naamā unheñ ḳhat badal kar
tawaqqoa hai dhoke mein aa kar wo paDh len
ki likkha hai nama unhen KHat badal kar
ajī pheñko raqīb kā naama
na ibārat bhalī na achchhā ḳhat
aji phenko raqib ka nama
na ibarat bhali na achchha KHat
aaj kā ḳhat hī use bhejā hai korā lekin
aaj kā ḳhat hī adhūrā nahīñ likhkhā maiñ ne
aaj ka KHat hi use bheja hai kora lekin
aaj ka KHat hi adhura nahin likhkha main ne