Sher on Hichki
It is often said that
you get a hiccup when someone remembers you. Reiterated over generations, this has turned into a popular belief and it has been used in literature in the same spirit. Here is a section for you to see how the poets make use of this belief, irrespective of the fact whether such a belief has any basis in reality.
hichkiyāñ aatī haiñ par lete nahīñ vo merā naam
dekhnā un kī farāmoshī ko merī yaad ko
hichkiyan aati hain par lete nahin wo mera nam
dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko
-
Tag : Faramoshi
mujhe yaad karne se ye mudda.ā thā
nikal jaa.e dam hichkiyāñ aate aate
mujhe yaad karne se ye muddaa tha
nikal jae dam hichkiyan aate aate
-
Tag : Yaad
hichkiyāñ raat dard tanhā.ī
aa bhī jaao tasalliyāñ de do
hichkiyan raat dard tanhai
aa bhi jao tasalliyan de do
-
Tags : Dardand 2 more
tumheñ ye ġham hai ki ab chiTThiyāñ nahīñ ātīñ
hamārī socho hameñ hichkiyāñ nahīñ ātīñ
tumhein ye gham hai ki ab chiTThiyan nahin aatin
hamari socho hamein hichkiyan nahin aatin
āḳhrī hichkī tire zānūñ pe aa.e
maut bhī maiñ shā.irāna chāhtā huuñ
aaKHri hichki tere zanun pe aae
maut bhi main shairana chahta hun
-
Tags : Famous shayariand 5 more
ḳhabar detī hai yaad kartā hai koī
jo bāñdhā hai hichkī ne taar aate aate
KHabar deti hai yaad karta hai koi
jo bandha hai hichki ne tar aate aate
-
Tag : Yaad
'amīr' ab hichkiyāñ aane lagī haiñ
kahīñ maiñ yaad farmāyā gayā huuñ
'amir' ab hichkiyan aane lagi hain
kahin main yaad farmaya gaya hun
hichkiyoñ par ho rahā hai zindagī kā raag ḳhatm
jhaTke de kar taar toḌe jā rahe haiñ saaz ke
hichkiyon par ho raha hai zindagi ka rag KHatm
jhaTke de kar tar toDe ja rahe hain saz ke