Sher on Phool
A blossom, or a flower,
is an image but it is also a simile, a metaphor, and a symbol. Its various colours represent various shades of life. They also represent transience as opposed to permanence. Even though it has become a cliché but some poets have used it as a repository of many more meanings than we may imagine. You may see some of them in this selection.
ham ne kāñToñ ko bhī narmī se chhuā hai aksar
log bedard haiñ phūloñ ko masal dete haiñ
hum ne kanTon ko bhi narmi se chhua hai aksar
log bedard hain phulon ko masal dete hain
maiñ chāhtā thā ki us ko gulāb pesh karūñ
vo ḳhud gulāb thā us ko gulāb kyā detā
main chahta tha ki us ko gulab pesh karun
wo KHud gulab tha us ko gulab kya deta
log kāñToñ se bach ke chalte haiñ
maiñ ne phūloñ se zaḳhm khaa.e haiñ
log kanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zaKHm khae hain
shabnam ke aañsū phuul par ye to vahī qissa huā
āñkheñ mirī bhīgī huī chehra tirā utrā huā
shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua
aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua
-
Tags : Aansooand 2 more
kāñToñ se guzar jaatā huuñ dāman ko bachā kar
phūloñ kī siyāsat se maiñ begāna nahīñ huuñ
kanTon se guzar jata hun daman ko bacha kar
phulon ki siyasat se main begana nahin hun
-
Tags : Kantaand 1 more
kāñToñ se dil lagāo jo tā-umr saath deñ
phūloñ kā kyā jo saañs kī garmī na sah sakeñ
befriend the thorns for they will be loyal until death
what of these flowers that will wilt with just a burning breath
kanTon se dil lagao jo ta-umr sath den
phulon ka kya jo sans ki garmi na sah saken
befriend the thorns for they will be loyal until death
what of these flowers that will wilt with just a burning breath
-
Tag : Kanta
aaj bhī shāyad koī phūloñ kā tohfa bhej de
titliyāñ mañDlā rahī haiñ kāñch ke gul-dān par
aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de
titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan par
-
Tags : Tohfaand 1 more
phuul hī phuul yaad aate haiñ
aap jab jab bhī muskurāte haiñ
phul hi phul yaad aate hain
aap jab jab bhi muskuraate hain
agarche phuul ye apne liye ḳharīde haiñ
koī jo pūchhe to kah dūñgā us ne bheje haiñ
agarche phul ye apne liye KHaride hain
koi jo puchhe to kah dunga us ne bheje hain
-
Tag : Valentine's Day
suno ki ab ham gulāb deñge gulāb leñge
mohabbatoñ meñ koī ḳhasāra nahīñ chalegā
suno ki ab hum gulab denge gulab lenge
mohabbaton mein koi KHasara nahin chalega
sach hai ehsān kā bhī bojh bahut hotā hai
chaar phūloñ se dabī jaatī hai turbat merī
sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phulon se dabi jati hai turbat meri
-
Tag : Ehsaan
phuul khile haiñ likhā huā hai toḌo mat
aur machal kar jī kahtā hai chhoḌo mat
TRANSLATION
Blossomed flowers and ‘do not pluck’ is diktat,
But the spirited heart says this: ‘don’t leave that’.
Sagar Akbarabadi
phul khile hain likha hua hai toDo mat
aur machal kar ji kahta hai chhoDo mat
TRANSLATION
Blossomed flowers and ‘do not pluck’ is diktat,
But the spirited heart says this: ‘don’t leave that’.
Sagar Akbarabadi
phuul kar le nibāh kāñToñ se
aadmī hī na aadmī se mile
phul kar le nibah kanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo
mujhe bū aatī hai is meñ kisī badan kī sī
KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
-
Tag : Badan
kāñTe to ḳhair kāñTe haiñ is kā gila hī kyā
phūloñ kī vārdāt se ghabrā ke pī gayā
kanTe to KHair kanTe hain is ka gila hi kya
phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya
-
Tags : Kantaand 1 more
hamesha hāthoñ meñ hote haiñ phuul un ke liye
kisī ko bhej ke mañgvāne thoḌī hote haiñ
hamesha hathon mein hote hain phul un ke liye
kisi ko bhej ke mangwane thoDi hote hain
-
Tag : Valentine's Day
apnī qismat meñ sabhī kuchh thā magar phuul na the
tum agar phuul na hote to hamāre hote
apni qismat mein sabhi kuchh tha magar phul na the
tum agar phul na hote to hamare hote
kuchh aise phuul bhī guzre haiñ merī nazroñ se
jo khil ke bhī na samajh paa.e zindagī kyā hai
kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se
jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai
ka.ī tarah ke tahā.if pasand haiñ us ko
magar jo kaam yahāñ phuul se nikaltā hai
kai tarah ke tahaif pasand hain us ko
magar jo kaam yahan phul se nikalta hai
use kisī se mohabbat na thī magar us ne
gulāb toḌ ke duniyā ko shak meñ Daal diyā
use kisi se mohabbat na thi magar us ne
gulab toD ke duniya ko shak mein Dal diya
-
Tag : Valentine's Day
phūloñ kī tāzgī hī nahīñ dekhne kī chiiz
kāñToñ kī samt bhī to nigāheñ uThā ke dekh
phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz
kanTon ki samt bhi to nigahen uTha ke dekh
-
Tag : Kanta
phūloñ ko surḳhī dene meñ
patte piile ho jaate haiñ
phulon ko surKHi dene mein
patte pile ho jate hain
-
Tag : Barg
ġham-e-umr-e-muḳhtasar se abhī be-ḳhabar haiñ kaliyāñ
na chaman meñ pheñk denā kisī phuul ko masal kar
gham-e-umr-e-muKHtasar se abhi be-KHabar hain kaliyan
na chaman mein phenk dena kisi phul ko masal kar
kāñToñ pe chale haiñ to kahīñ phuul khile haiñ
phūloñ se mile haiñ to baḌī choT lagī hai
kanTon pe chale hain to kahin phul khile hain
phulon se mile hain to baDi choT lagi hai
-
Tag : Kanta
rañg āñkhoñ ke liye bū hai dimāġhoñ ke liye
phuul ko haath lagāne kī zarūrat kyā hai
rang aankhon ke liye bu hai dimaghon ke liye
phul ko hath lagane ki zarurat kya hai
maiñ ne qubūl kar liyā chup chaap vo gulāb
jo shāḳh de rahī thī tirī or se mujhe
main ne qubul kar liya chup chap wo gulab
jo shaKH de rahi thi teri or se mujhe
-
Tag : Valentine's Day
mehr-o-mah gul phuul sab the par hameñ
chehra.ī chehra hameñ bhātā rahā
mehr-o-mah gul phul sab the par hamein
chehrai chehra hamein bhata raha
ruk gayā haath tirā kyuuñ 'bāsir'
koī kāñTā to na thā phūloñ meñ
ruk gaya hath tera kyun 'basir'
koi kanTa to na tha phulon mein
-
Tag : Kanta
us ko hañstā dekh ke phuul the hairat meñ
vo hañstī thī phūloñ kī hairānī par
us ko hansta dekh ke phul the hairat mein
wo hansti thi phulon ki hairani par
pata thā mujh ko mulāqāt ġhair-mumkin hai
so terā dhyān kiyā aur gulāb chuum liyā
pata tha mujh ko mulaqat ghair-mumkin hai
so tera dhyan kiya aur gulab chum liya
-
Tag : Valentine's Day
tujh se bichhḌūñ to koī phuul na mahke mujh meñ
dekh kyā karb hai kyā zaat kī sachchā.ī hai
tujh se bichhDun to koi phul na mahke mujh mein
dekh kya karb hai kya zat ki sachchai hai
chaman kā husn samajh kar sameT laa.e the
kise ḳhabar thī ki har phuul ḳhaar niklegā
chaman ka husn samajh kar sameT lae the
kise KHabar thi ki har phul KHar niklega
bahār aa.ī guloñ ko hañsī nahīñ aa.ī
kahīñ se bū tirī guftār kī nahīñ aa.ī
bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
kahin se bu teri guftar ki nahin aai
-
Tag : Bahaar
chāhne vaalo pyaar meñ thoḌī āzādī bhī lāzim hai
dekho merā phuul ziyāda dekh-bhāl se TuuT gayā
chahne walo pyar mein thoDi aazadi bhi lazim hai
dekho mera phul ziyaada dekh-bhaal se TuT gaya
-
Tag : Aazadi
qubūl kar ke ise rābta bahāl karo
kahīñ ye phuul mirī āḳhirī pukār na ho
qubul kar ke ise rabta bahaal karo
kahin ye phul meri aaKHiri pukar na ho
-
Tag : Valentine's Day