Sher on Raqeeb
An envious person is
yet another stock character of classical Urdu poetry. He wants to dislodge the lover, possess the beloved, and rule the world. He is often led by lust and is also the one about whom the beloved knows and enjoys this dichotomous situation rather secretly. Read these verses to know the inscrutable ways of those in love.
is tarah zindagī ne diyā hai hamārā saath
jaise koī nibāh rahā ho raqīb se
is tarah zindagi ne diya hai hamara sath
jaise koi nibah raha ho raqib se
-
Tags : Famous shayariand 1 more
le mere tajraboñ se sabaq ai mire raqīb
do-chār saal umr meñ tujh se baḌā huuñ maiñ
le mere tajrabon se sabaq ai mere raqib
do-chaar sal umr mein tujh se baDa hun main
na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
-
Tags : Famous shayariand 1 more
mujh se bigaḌ ga.e to raqīboñ kī ban ga.ī
ġhairoñ meñ baT rahā hai mirā e'tibār aaj
mujh se bigaD gae to raqibon ki ban gai
ghairon mein baT raha hai mera e'tibar aaj
jo koī aave hai nazdīk hī baiThe hai tire
ham kahāñ tak tire pahlū se sarakte jāveñ
whoever comes takes his place here right by your side
how long with this displacement from you shall I abide
jo koi aawe hai nazdik hi baiThe hai tere
hum kahan tak tere pahlu se sarakte jawen
whoever comes takes his place here right by your side
how long with this displacement from you shall I abide
tumhāre ḳhat meñ nayā ik salām kis kā thā
na thā raqīb to āḳhir vo naam kis kā thā
that new greeting in your note, from whom was it do say
if not my rival's signature, whose name was it then, pray?
tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha
na tha raqib to aaKHir wo nam kis ka tha
that new greeting in your note, from whom was it do say
if not my rival's signature, whose name was it then, pray?
idhar aa raqīb mere maiñ tujhe gale lagā luuñ
mirā ishq be-mazā thā tirī dushmanī se pahle
idhar aa raqib mere main tujhe gale laga lun
mera ishq be-maza tha teri dushmani se pahle
-
Tags : Ishqand 1 more
us naqsh-e-pā ke sajde ne kyā kyā kiyā zalīl
maiñ kūcha-e-raqīb meñ bhī sar ke bal gayā
bowing to her footsteps brought me shame I dread
I went to my rival's street standing on my head
us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil
main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya
bowing to her footsteps brought me shame I dread
I went to my rival's street standing on my head
jaanā paḌā raqīb ke dar par hazār baar
ai kaash jāntā na tire rah-guzar ko maiñ
To my rival's stead a thousand times I had to go
Would it be, the path you often tread I did not know
jaana paDa raqib ke dar par hazar bar
ai kash jaanta na tere rah-guzar ko main
To my rival's stead a thousand times I had to go
Would it be, the path you often tread I did not know
baiThe hue raqīb haiñ dilbar ke ās-pās
kāñToñ kā hai hujūm gul-e-tar ke ās-pās
baiThe hue raqib hain dilbar ke aas-pas
kanTon ka hai hujum gul-e-tar ke aas-pas
rafīqoñ se raqīb achchhe jo jal kar naam lete haiñ
guloñ se ḳhaar behtar haiñ jo dāman thaam lete haiñ
rafiqon se raqib achchhe jo jal kar nam lete hain
gulon se KHar behtar hain jo daman tham lete hain
ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
ghair se kheli hai holi yar ne
Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang
-
Tags : Aansooand 2 more
raqīb qatl huā us kī teġh-e-abrū se
harām-zāda thā achchhā huā halāl huā
raqib qatl hua us ki tegh-e-abru se
haram-zada tha achchha hua halal hua
jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko
ik tamāshā huā gila na huā
you collect my enemies, why in this manner? pray
a spectacle this is and not the way to remonstrate
jama karte ho kyun raqibon ko
ek tamasha hua gila na hua
you collect my enemies, why in this manner? pray
a spectacle this is and not the way to remonstrate
yaad aa.iiñ us ko dekh ke apnī musībateñ
ro.e ham aaj ḳhuub lipaT kar raqīb se
yaad aain us ko dekh ke apni musibaten
roe hum aaj KHub lipaT kar raqib se
apnī zabān se mujhe jo chāhe kah leñ aap
baḌh baḌh ke bolnā nahīñ achchhā raqīb kā
apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap
baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka
aap hī se na jab rahā matlab
phir raqīboñ se mujh ko kyā matlab
aap hi se na jab raha matlab
phir raqibon se mujh ko kya matlab
hameñ nargis kā dasta ġhair ke hāthoñ se kyuuñ bhejā
jo āñkheñ hī dikhānī thiiñ dikhāte apnī nazroñ se
hamein nargis ka dasta ghair ke hathon se kyun bheja
jo aankhen hi dikhani thin dikhate apni nazron se
ġhussa aatā hai pyaar aatā hai
ġhair ke ghar se yaar aatā hai
ghussa aata hai pyar aata hai
ghair ke ghar se yar aata hai
jis kā tujh sā habīb hovegā
kaun us kā raqīb hovegā
jis ka tujh sa habib howega
kaun us ka raqib howega
ham apne ishq kī ab aur kyā shahādat deñ
hameñ hamāre raqīboñ ne mo'tabar jaanā
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den
hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana
kahte ho ki hamdard kisī kā nahīñ sunte
maiñ ne to raqīboñ se sunā aur hī kuchh hai
kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte
main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai
go aap ne javāb burā hī diyā vale
mujh se bayāñ na kiije adū ke payām ko
though you may have replied to him as rudely as you claim
don't tell me what was in my rival's message, just the same
go aap ne jawab bura hi diya wale
mujh se bayan na kije adu ke payam ko
though you may have replied to him as rudely as you claim
don't tell me what was in my rival's message, just the same
vo jise saare zamāne ne kahā merā raqīb
maiñ ne us ko ham-safar jaanā ki tū us kī bhī thī
wo jise sare zamane ne kaha mera raqib
main ne us ko ham-safar jaana ki tu us ki bhi thi
raqīb donoñ jahāñ meñ zalīl kyuuñ hotā
kisī ke biich meñ kam-baḳht agar nahīñ aatā
raqib donon jahan mein zalil kyun hota
kisi ke bich mein kam-baKHt agar nahin aata
ye kah ke mere sāmne Taalā raqīb ko
mujh se kabhī kī jaan na pahchān jā.iye
ye kah ke mere samne Tala raqib ko
mujh se kabhi ki jaan na pahchan jaiye
haal merā bhī jā-e-ibrat hai
ab sifārish raqīb karte haiñ
haal mera bhi ja-e-ibrat hai
ab sifarish raqib karte hain
sāmne us ke na kahte magar ab kahte haiñ
lazzat-e-ishq ga.ī ġhair ke mar jaane se
I would not say this to her, but now it can be said
the pleasure of romance has gone, now with my rival dead
samne us ke na kahte magar ab kahte hain
lazzat-e-ishq gai ghair ke mar jaane se
I would not say this to her, but now it can be said
the pleasure of romance has gone, now with my rival dead
sadme uThā.eñ rashk ke kab tak jo ho so ho
yā to raqīb hī nahīñ yā aaj ham nahīñ
sadme uThaen rashk ke kab tak jo ho so ho
ya to raqib hi nahin ya aaj hum nahin
kū-e-jānāñ meñ na ġhairoñ kī rasā.ī ho jaa.e
apnī jāgīr ye yā-rab na parā.ī ho jaa.e
ku-e-jaanan mein na ghairon ki rasai ho jae
apni jagir ye ya-rab na parai ho jae
mat baḳht-e-ḳhufta par mire hañs ai raqīb tū
hogā tire nasīb bhī ye ḳhvāb dekhnā
mat baKHt-e-KHufta par mere hans ai raqib tu
hoga tere nasib bhi ye KHwab dekhna
āġhosh siiñ sajan ke haman kuuñ kiyā kanār
māruñgā is raqīb kuuñ chhaḌiyoñ se god god
aaghosh sin sajan ke haman kun kiya kanar
marunga is raqib kun chhaDiyon se god god
bas ek pyaar ne sālim rakhā hameñ yaaro
raqīb mar ga.e ham meñ shigāf karte hue
bas ek pyar ne salim rakha hamein yaro
raqib mar gae hum mein shigaf karte hue