maiñ bhī bahut ajiib huuñ itnā ajiib huuñ ki bas
ḳhud ko tabāh kar liyā aur malāl bhī nahīñ
main bhi bahut ajib hun itna ajib hun ki bas
KHud ko tabah kar liya aur malal bhi nahin
un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq
vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
un ke dekhe se jo aa jati hai munh par raunaq
wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai
zindagī zinda-dilī kā hai naam
murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ
zindagi zinda-dili ka hai nam
murda-dil KHak jiya karte hain
-
Tags : Famous shayariand 2 more
ye jabr bhī dekhā hai tārīḳh kī nazroñ ne
lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī
ye jabr bhi dekha hai tariKH ki nazron ne
lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai
-
Tags : Famous shayariand 5 more
vo baat saare fasāne meñ jis kā zikr na thā
vo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai
wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
-
Tags : Famous shayariand 1 more
be-ḳhudī be-sabab nahīñ 'ġhālib'
kuchh to hai jis kī parda-dārī hai
be-KHudi be-sabab nahin 'ghaalib'
kuchh to hai jis ki parda-dari hai
-
Tags : Bekhudiand 2 more
ab udaas phirte ho sardiyoñ kī shāmoñ meñ
is tarah to hotā hai is tarah ke kāmoñ meñ
ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
-
Tags : Sardiand 1 more
umr to saarī kaTī ishq-e-butāñ meñ 'momin'
āḳhirī vaqt meñ kyā ḳhaak musalmāñ hoñge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
umr to sari kaTi ishq-e-butan mein 'momin'
aaKHiri waqt mein kya KHak musalman honge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
-
Tags : Famous shayariand 1 more
ik aur dariyā kā sāmnā thā 'munīr' mujh ko
maiñ ek dariyā ke paar utrā to maiñ ne dekhā
ek aur dariya ka samna tha 'munir' mujh ko
main ek dariya ke par utra to main ne dekha
dāman pe koī chhīñT na ḳhanjar pe koī daaġh
tum qatl karo ho ki karāmāt karo ho
daman pe koi chhinT na KHanjar pe koi dagh
tum qatl karo ho ki karamat karo ho
laa.ī hayāt aa.e qazā le chalī chale
apnī ḳhushī na aa.e na apnī ḳhushī chale
lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale
na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
-
Tags : Famous shayariand 1 more
maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'
muft haath aa.e to burā kyā hai
main ne mana ki kuchh nahin 'ghaalib'
muft hath aae to bura kya hai
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
-
Tags : Baamand 1 more
ye bazm-e-mai hai yaañ kotāh-dastī meñ hai mahrūmī
jo baḌh kar ḳhud uThā le haath meñ miinā usī kā hai
ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai
go qayāmat se peshtar na huī
tum na aa.e to kyā sahar na huī
go qayamat se peshtar na hui
tum na aae to kya sahar na hui
itnī na baḌhā pākī-e-dāmāñ kī hikāyat
dāman ko zarā dekh zarā band-e-qabā dekh
itni na baDha paki-e-daman ki hikayat
daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh
charḳh ko kab ye salīqa hai sitamgārī meñ
koī ma.ashūq hai is parda-e-zañgārī meñ
charKH ko kab ye saliqa hai sitamgari mein
koi mashuq hai is parda-e-zangari mein