Salman Khayal
Ghazal 5
Sher-o-Shayari 5
jab se is dasht meñ aayā huuñ isī soch meñ huuñ
ki bayābān meñ kyā soch kar aatā hai koī
jab se is dasht mein aaya hun isi soch mein hun
ki bayaban mein kya soch kar aata hai koi
-
Share this
- See Ghazal
ye dil-fareb charāġhāñ ye qahqahoñ ke hujūm
maiñ Dar rahā huuñ ab is shahar se guzarte hue
ye dil-fareb charaghan ye qahqahon ke hujum
main Dar raha hun ab is shahar se guzarte hue
-
Share this
- See Ghazal
ye āsmān hai behtar ki āshiyāñ merā
parind soch rahā hai uḌaan bharte hue
ye aasman hai behtar ki aashiyan mera
parind soch raha hai uDan bharte hue
-
Share this
- See Ghazal
guzārī umr ham ne ābiyārī meñ kisī kī
vo apnā ek kār-e-be-samar thā aur ham the
guzari umr hum ne aabiyari mein kisi ki
wo apna ek kar-e-be-samar tha aur hum the
-
Share this
- See Ghazal
zarā sambhlo tumhārī vahshatoñ ke zikr 'salmān'
jahāñ hone nahīñ the ab vahāñ bhī ho rahe haiñ
zara sambhlo tumhaari wahshaton ke zikr 'salman'
jahan hone nahin the ab wahan bhi ho rahe hain
-
Share this
- See Ghazal