KHala se kibriya tak ka safar tha aur hum the
ḳhalā se kibriyā tak kā safar thā aur ham the
thiraktā chaak thā ik kūza-gar thā aur ham the
tumhīñ ko dekhte guzre the ik sachchā.ī se ham
jahāñ āshob hī had-e-nazar thā aur ham the
baḌī mushkil se kī daryāft ham ne raġhbat-e-ġham
phir is ke baad to āsāñ safar thā aur ham the
guzārī umr ham ne ābiyārī meñ kisī kī
vo apnā ek kār-e-be-samar thā aur ham the
gaḌhī ho naal jis dar pe bulātī hai vo miTTī
yahī honā thā āḳhir phir vo dar thā aur ham the
KHala se kibriya tak ka safar tha aur hum the
thirakta chaak tha ek kuza-gar tha aur hum the
tumhin ko dekhte guzre the ek sachchai se hum
jahan aashob hi had-e-nazar tha aur hum the
baDi mushkil se ki daryaft hum ne raghbat-e-gham
phir is ke baad to aasan safar tha aur hum the
guzari umr hum ne aabiyari mein kisi ki
wo apna ek kar-e-be-samar tha aur hum the
gaDhi ho nal jis dar pe bulati hai wo miTTi
yahi hona tha aaKHir phir wo dar tha aur hum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.