hazaron dard yakja ho ke aankhen dho rahe hain
hazāroñ dard yakjā ho ke āñkheñ dho rahe haiñ
ye rut girya kī hai har samt aañsū ho rahe haiñ
havā-e-ḳhvāb-e-ḳhush ne thī hamārī niiñd toḌī
so ik gahrī udāsī oḌh lī hai so rahe haiñ
hameñ rakhne the apne naqsh-e-pā bhī surḳhiyoñ meñ
so apnī raah meñ kuchh aur kāñTe bo rahe haiñ
baḌī ḳhvāhish thī ham ko qais hone kī so ho ga.e
na jaane kab se sar par ek sahrā Dho rahe haiñ
kahānī bhī tumhārī aur aham kirdār bhī tum
hamārā zikr kyā ham jo rahe haiñ so rahe haiñ
achānak ḳhāmushī se bhar ga.e haiñ sab vagarna
zamāne tak hamāre zaḳhm qissa-go rahe haiñ
ajab sī bad-havāsī hai hameñ koī batā.e
hameñ kyā DhūñDhnā hai aur ham kyā kho rahe haiñ
zarā sambhlo tumhārī vahshatoñ ke zikr 'salmān'
jahāñ hone nahīñ the ab vahāñ bhī ho rahe haiñ
hazaron dard yakja ho ke aankhen dho rahe hain
ye rut girya ki hai har samt aansu ho rahe hain
hawa-e-KHwab-e-KHush ne thi hamari nind toDi
so ek gahri udasi oDh li hai so rahe hain
hamein rakhne the apne naqsh-e-pa bhi surKHiyon mein
so apni rah mein kuchh aur kanTe bo rahe hain
baDi KHwahish thi hum ko qais hone ki so ho gae
na jaane kab se sar par ek sahra Dho rahe hain
kahani bhi tumhaari aur aham kirdar bhi tum
hamara zikr kya hum jo rahe hain so rahe hain
achanak KHamushi se bhar gae hain sab wagarna
zamane tak hamare zaKHm qissa-go rahe hain
ajab si bad-hawasi hai hamein koi batae
hamein kya DhunDhna hai aur hum kya kho rahe hain
zara sambhlo tumhaari wahshaton ke zikr 'salman'
jahan hone nahin the ab wahan bhi ho rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.