DhunDhta hun main kisi ko nazar aata hai koi
DhūñDhtā huuñ maiñ kisī ko nazar aatā hai koī
diid meñ kyoñ nahīñ aatā agar aatā hai koī
rāste meñ kisī saa.e kā dikhā.ī denā
bām-o-dar kā ye samajhnā ki ghar aatā hai koī
mujh pe girtī huī ye dhuup bhī ab thak ga.ī hai
maiñ bhī is taaq meñ huuñ kab shajar aatā hai koī
kyā tanāquz hai ki āñkhoñ se na ho kar dāḳhil
dil meñ paanī kī tarah ab ke dar aatā hai koī
mere haq meñ jo duā kun haiñ tere haath to sun
paḌh vazīfa bhī zarā der agar aatā hai koī
jab se is dasht meñ aayā huuñ isī soch meñ huuñ
ki bayābān meñ kyā soch kar aatā hai koī
vo merī rāh-e-junūñ meñ yuuñ numūdār huā
jyuuñ kisī tiir ke raste meñ sar aatā hai koī
DhunDhta hun main kisi ko nazar aata hai koi
did mein kyon nahin aata agar aata hai koi
raste mein kisi sae ka dikhai dena
baam-o-dar ka ye samajhna ki ghar aata hai koi
mujh pe girti hui ye dhup bhi ab thak gai hai
main bhi is taq mein hun kab shajar aata hai koi
kya tanaquz hai ki aankhon se na ho kar daKHil
dil mein pani ki tarah ab ke dar aata hai koi
mere haq mein jo dua kun hain tere hath to sun
paDh wazifa bhi zara der agar aata hai koi
jab se is dasht mein aaya hun isi soch mein hun
ki bayaban mein kya soch kar aata hai koi
wo meri rah-e-junun mein yun numudar hua
jyun kisi tir ke raste mein sar aata hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.