Mashkoor Husain Yaad
Ghazal 6
Sher-o-Shayari 8
aañsū aañsū jis ne dariyā paar kiye
qatra qatra aab meñ uljhā baiThā hai
aansu aansu jis ne dariya par kiye
qatra qatra aab mein uljha baiTha hai
-
Share this
- See Ghazal
ḳhush na ho āñ.suoñ kī bārish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlū meñ
KHush na ho aansuon ki barish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlu mein
-
Share this
- See Ghazal
behtar hai ki ab ḳhud se judā ho ke bhī dekheñ
dariyā meñ to dariyā kā havāla nahīñ miltā
behtar hai ki ab KHud se juda ho ke bhi dekhen
dariya mein to dariya ka hawala nahin milta
-
Share this
- See Ghazal
naqāb uThāo to har shai ko pāoge sālim
ye kā.enāt ba-taur-e-hijāb TūTtī hai
naqab uThao to har shai ko paoge salim
ye kaenat ba-taur-e-hijab TuTti hai
-
Share this
- See Ghazal
umr guzrī safar ke pahlū meñ
ḳhuub se ḳhūb-tar ke pahlū meñ
umr guzri safar ke pahlu mein
KHub se KHub-tar ke pahlu mein
-
Share this
- See Ghazal