umr guzri safar ke pahlu mein
umr guzrī safar ke pahlū meñ
ḳhuub se ḳhūb-tar ke pahlū meñ
saañs letā hai zauq-e-lā-mahdūd
ḳhvāhish-e-bām-o-dar ke pahlū meñ
shar ko kyā samjhe ye ġhabī maḳhlūq
shar kahāñ hai bashar ke pahlū meñ
ḳhush na ho āñ.suoñ kī bārish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlū meñ
ab hameñ kyā koī sambhālegā
ham haiñ sailāb zar ke pahlū meñ
farsh par us ne lī jo añgḌā.ī
arsh aayā utar ke pahlū meñ
āfiyat se bhī 'yād' ḳhud ko bachāo
āfiyat hai ḳhatar ke pahlū meñ
umr guzri safar ke pahlu mein
KHub se KHub-tar ke pahlu mein
sans leta hai zauq-e-la-mahdud
KHwahish-e-baam-o-dar ke pahlu mein
shar ko kya samjhe ye ghabi maKHluq
shar kahan hai bashar ke pahlu mein
KHush na ho aansuon ki barish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlu mein
ab hamein kya koi sambhaalega
hum hain sailab zar ke pahlu mein
farsh par us ne li jo angDai
arsh aaya utar ke pahlu mein
aafiyat se bhi 'yaad' KHud ko bachao
aafiyat hai KHatar ke pahlu mein
- Book : TASTEER (Pg. 425)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : C-56,LDA Flats, Chanaab Block, Iqbaal Town, Lahore (Issue No. 9,10 July/August. 1999)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.