jis ko dekho KHwab mein uljha baiTha hai
jis ko dekho ḳhvāb meñ uljhā baiThā hai
apne hī pāyāb meñ uljhā baiThā hai
aañsū aañsū jis ne dariyā paar kiye
qatra qatra aab meñ uljhā baiThā hai
bhuul ke jauharī apne la.al-o-javāhar ko
shauq-e-dur-e-nāyāb meñ uljhā baiThā hai
vo jo bagūlā ban kar uḌtā phirtā thā
dhāgā dhāgā sarāb meñ uljhā baiThā hai
nisf nahār pe yuuñ lagtā hai sūraj bhī
vaqt kī āb-o-tāb meñ uljhā baiThā hai
yād-e-kitāb-e-shauq na hogī ḳhatm kabhī
insāñ ik ik baab meñ uljhā baiThā hai
jis ko dekho KHwab mein uljha baiTha hai
apne hi payab mein uljha baiTha hai
aansu aansu jis ne dariya par kiye
qatra qatra aab mein uljha baiTha hai
bhul ke jauhari apne lal-o-jawahar ko
shauq-e-dur-e-nayab mein uljha baiTha hai
wo jo bagula ban kar uDta phirta tha
dhaga dhaga sarab mein uljha baiTha hai
nisf nahaar pe yun lagta hai suraj bhi
waqt ki aab-o-tab mein uljha baiTha hai
yaad-e-kitab-e-shauq na hogi KHatm kabhi
insan ek ek bab mein uljha baiTha hai
- Book : TASTEER (Pg. 166)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : Room No.1, 1st Floor, Awaan Plaza, Shadmaan Market, Lahore (Issue No. 3 October/December. 1997)
- Edition : Issue No. 3 October/December. 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.