jab dida-e-bina ka hawala nahin milta
jab dīda-e-bīnā kā havāla nahīñ miltā
phir koī bhī duniyā kā havāla nahīñ miltā
vo ālam-e-bālā to tire dil meñ makīñ hai
jis ālam-e-bālā kā havāla nahīñ miltā
aalā meñ to adnā ke havāle hī havāle
adnā hī meñ aalā kā havāla nahīñ miltā
jis jān-e-tamannā ke havāle hai mirī jaañ
us jān-e-tamannā kā havāla nahīñ miltā
ye ruuh savālāt hai yā koī munājāt
kyā miltā hai bas kyā kā havāla nahīñ miltā
ham aaj haiñ aur aaj tū hai kal se bhī aage
achchhā hai jo fardā kā havāla nahīñ miltā
paidā hai to pinhāñ ke havāloñ se bharā hai
pinhāñ se to paidā kā havāla nahīñ miltā
tū apne havāle kī havā khā ke hī ḳhush rah
har aan havāla kā havāla nahīñ miltā
behtar hai ki ab ḳhud se judā ho ke bhī dekheñ
dariyā meñ to dariyā kā havāla nahīñ miltā
'mashkūr' mirī jaan chale aa.e ho tanhā
tanhā ko to tanhā kā havāla nahīñ miltā
jab dida-e-bina ka hawala nahin milta
phir koi bhi duniya ka hawala nahin milta
wo aalam-e-baala to tere dil mein makin hai
jis aalam-e-baala ka hawala nahin milta
aala mein to adna ke hawale hi hawale
adna hi mein aala ka hawala nahin milta
jis jaan-e-tamanna ke hawale hai meri jaan
us jaan-e-tamanna ka hawala nahin milta
ye ruh sawalat hai ya koi munajat
kya milta hai bas kya ka hawala nahin milta
hum aaj hain aur aaj tu hai kal se bhi aage
achchha hai jo farda ka hawala nahin milta
paida hai to pinhan ke hawalon se bhara hai
pinhan se to paida ka hawala nahin milta
tu apne hawale ki hawa kha ke hi KHush rah
har aan hawala ka hawala nahin milta
behtar hai ki ab KHud se juda ho ke bhi dekhen
dariya mein to dariya ka hawala nahin milta
'mashkur' meri jaan chale aae ho tanha
tanha ko to tanha ka hawala nahin milta
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 150)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.