Sher on Shahr
City is a physical space;
it is also a metaphor of suffering as well as of aspirations and achievements. It is a place where dreams are nurtured as well as scattered and spoiled. City has been treated variously in the poetry of both the East and the West. The modern poets, however, have executed the images of city more frequently than others. Here are some images of the city as visualized by Urdu poets.
tamām raat nahāyā thā shahr bārish meñ
vo rañg utar hī ga.e jo utarne vaale the
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
-
Tags : Barishand 1 more
hai ajiib shahr kī zindagī na safar rahā na qayām hai
kahīñ kārobār sī dopahar kahīñ bad-mizāj sī shaam hai
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai
-
Tags : Mechanical Lifeand 1 more
dil to merā udaas hai 'nāsir'
shahr kyuuñ saa.eñ saa.eñ kartā hai
dil to mera udas hai 'nasir'
shahr kyun saen saen karta hai
-
Tags : Diland 1 more
jo mere gaañv ke khetoñ meñ bhuuk ugne lagī
mire kisānoñ ne shahroñ meñ naukrī kar lī
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi
mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
-
Tags : Gaonand 1 more
sunā hai shahr kā naqsha badal gayā 'mahfūz'
to chal ke ham bhī zarā apne ghar ko dekhte haiñ
suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz'
to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain
-
Tag : Ghar
bhiiḌ ke ḳhauf se phir ghar kī taraf lauT aayā
ghar se jab shahr meñ tanhā.ī ke Dar se niklā
bhiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya
ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla
-
Tags : Gharand 1 more
ik aur khet pakkī saḌak ne nigal liyā
ik aur gaañv shahar kī vus.at meñ kho gayā
ek aur khet pakki saDak ne nigal liya
ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya
-
Tag : Gaon
dosto tum se guzārish hai yahāñ mat aao
is baḌe shahr meñ tanhā.ī bhī mar jaatī hai
dosto tum se guzarish hai yahan mat aao
is baDe shahr mein tanhai bhi mar jati hai
aisā hañgāma na thā jañgal meñ
shahr meñ aa.e to Dar lagtā thā
aisa hangama na tha jangal mein
shahr mein aae to Dar lagta tha
tum bhī is shahr meñ ban jāoge patthar jaise
hañsne vaalā yahāñ koī hai na rone vaalā
tum bhi is shahr mein ban jaoge patthar jaise
hansne wala yahan koi hai na rone wala
mere hī sañg-o-ḳhisht se ta.amīr-e-bām-o-dar
mere hī ghar ko shahr meñ shāmil kahā na jaa.e
mere hi sang-o-KHisht se tamir-e-baam-o-dar
mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae
shahr kā bhī dastūr vahī jañgal vaalā
khojne vaale hī akasr kho jaate haiñ
shahr ka bhi dastur wahi jangal wala
khojne wale hi akasr kho jate hain
ab shahr-e-ārzū meñ vo ra.anā.iyāñ kahāñ
haiñ gul-kade niDhāl baḌī tez dhuup hai
ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhup hai
-
Tags : Aarzooand 1 more
'azm' is shahr meñ ab aisī koī aañkh nahīñ
girne vaale ko yahāñ jis ne sambhalte dekhā
'azm' is shahr mein ab aisi koi aankh nahin
girne wale ko yahan jis ne sambhalte dekha
-
Tag : Eyes
majnūñ se ye kahnā ki mire shahar meñ aa jaa.e
vahshat ke liye ek bayābān abhī hai
majnun se ye kahna ki mere shahar mein aa jae
wahshat ke liye ek bayaban abhi hai
-
Tags : Sahraand 1 more
kaisā hangāma bapā hai ki mire shahr ke log
ḳhāmushī DhūñDhne ġhāroñ kī taraf jaate hue
kaisa hangama bapa hai ki mere shahr ke log
KHamushi DhunDhne ghaaron ki taraf jate hue
-
Tag : Gaon
ye dil-fareb charāġhāñ ye qahqahoñ ke hujūm
maiñ Dar rahā huuñ ab is shahar se guzarte hue
ye dil-fareb charaghan ye qahqahon ke hujum
main Dar raha hun ab is shahar se guzarte hue
hasīñ hai shahr to ujlat meñ kyuuñ guzar jaa.eñ
junūn-e-shauq use bhī nihāl kar jaa.eñ
hasin hai shahr to ujlat mein kyun guzar jaen
junun-e-shauq use bhi nihaal kar jaen
kuchh bhī hoñ dillī ke kūche
tujh bin mujh ko ghar kāTegā
kuchh bhi hon dilli ke kuche
tujh bin mujh ko ghar kaTega
ham ek shahr meñ the ik nadī kī duurī par
aur us nadī meñ koī aur vaqt bahtā thā
hum ek shahr mein the ek nadi ki duri par
aur us nadi mein koi aur waqt bahta tha
-
Tag : Waqt
ai muzaffar kis liye bhopal yaad aane lagā
kyā samajhte the ki dillī meñ na hogā āsmāñ
ai muzaffar kis liye bhopal yaad aane laga
kya samajhte the ki dilli mein na hoga aasman
yuuñ bhī dillī meñ log rahte haiñ
jaise dīvān-e-mīr chaak shuda
yun bhi dilli mein log rahte hain
jaise diwan-e-mir chaak shuda
dil se duur hue jaate haiñ ġhālib ke kalkatte vaale
guwahati meñ dekhe ham ne aise aise chehre vaale
dil se dur hue jate hain ghaalib ke kalkatte wale
guwahati mein dekhe hum ne aise aise chehre wale
itnā dil-e-'na.īm' ko vīrāñ na kar hijāz
ro.egī mauj-e-gañg jo us tak ḳhabar ga.ī
itna dil-e-'naim' ko viran na kar hijaz
roegi mauj-e-gang jo us tak KHabar gai
-
Tag : Ganga Nadi