Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Arif Shafiq

1956 | Pakistan

Arif Shafiq

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 8

jo mere gaañv ke khetoñ meñ bhuuk ugne lagī

mire kisānoñ ne shahroñ meñ naukrī kar

jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi

mere kisanon ne shahron mein naukri kar li

ġharīb-e-shahr to faaqe se mar gayā 'ārif'

amīr-e-shahr ne hiire se ḳhud-kushī kar

gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'

amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li

apne darvāze pe ḳhud dastakeñ detā hai vo

ajnabī lahje meñ phir vo pūchhtā hai kaun hai

apne darwaze pe KHud hi dastaken deta hai wo

ajnabi lahje mein phir wo puchhta hai kaun hai

  • Share this

kaisā mātam kaisā ronā miTTī

TuuT gayā hai ek khilaunā miTTī

kaisa matam kaisa rona miTTi ka

TuT gaya hai ek khilauna miTTi ka

andhe adam vajūd ke girdāb se nikal

ye zindagī bhī ḳhvāb hai ḳhvāb se nikal

andhe adam wajud ke girdab se nikal

ye zindagi bhi KHwab hai tu KHwab se nikal

BOOKS 3

 

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now