Khalid Siddiqui
Ghazal 4
Sher-o-Shayari 6
ik aur khet pakkī saḌak ne nigal liyā
ik aur gaañv shahar kī vus.at meñ kho gayā
ek aur khet pakki saDak ne nigal liya
ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya
-
Share this
- See Ghazal
bahut tanhā hai vo ūñchī havelī
mire gaañv ke in kachche gharoñ meñ
bahut tanha hai wo unchi haweli
mere ganw ke in kachche gharon mein
-
Share this
- See Ghazal
ye kaisī hijrateñ haiñ mausamoñ meñ
parinde bhī nahīñ haiñ ghoñsloñ meñ
ye kaisi hijraten hain mausamon mein
parinde bhi nahin hain ghonslon mein
-
Share this
- See Ghazal
jo aañkh kī putlī meñ rahā nuur kī sūrat
vo shaḳhs mire ghar ke añdhere kā sabab hai
jo aankh ki putli mein raha nur ki surat
wo shaKHs mere ghar ke andhere ka sabab hai
-
Share this
- See Ghazal
be-kār hai be-ma.anī hai aḳhbār kī surḳhī
likkhā hai jo dīvār pe vo ġhaur-talab hai
be-kar hai be-mani hai aKHbar ki surKHi
likkha hai jo diwar pe wo ghaur-talab hai
-
Share this
- See Ghazal