Sher on Sahil
Words acquire different connotations
in poetry. Riverbank is one such word which carries many implications. Apart from being an image, it is also a metaphor and a symbol. Urdu poets have used the physical riverbank to express many conditions relating to meeting, parting, longing, suffering et. al. Here is a sampler that brings you a variety of ideas associated with riverbank.
safar meñ koī kisī ke liye Thahartā nahīñ
na muḌ ke dekhā kabhī sāhiloñ ko dariyā ne
safar mein koi kisi ke liye Thaharta nahin
na muD ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne
-
Tags : Dariyaand 1 more
agar maujeñ Dubo detīñ to kuchh taskīn ho jaatī
kināroñ ne Duboyā hai mujhe is baat kā ġham hai
agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati
kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai
dariyā ke talātum se to bach saktī hai kashtī
kashtī meñ talātum ho to sāhil na milegā
from the storms of the seas the ship might well survive
but if the storm is in the ship, no shore can then arrive
dariya ke talatum se to bach sakti hai kashti
kashti mein talatum ho to sahil na milega
from the storms of the seas the ship might well survive
but if the storm is in the ship, no shore can then arrive
-
Tags : Dariyaand 1 more
nazroñ se nāptā hai samundar kī vus.ateñ
sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā
nazron se napta hai samundar ki wusaten
sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua
-
Tag : Samundar
us nā-ḳhudā ke zulm o sitam haa.e kyā karūñ
kashtī mirī Duboī hai sāhil ke ās-pās
us na-KHuda ke zulm o sitam hae kya karun
kashti meri Duboi hai sahil ke aas-pas
musāfir apnī manzil par pahuñch kar chain paate haiñ
vo maujeñ sar paTaktī haiñ jinheñ sāhil nahīñ miltā
musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain
wo maujen sar paTakti hain jinhen sahil nahin milta
-
Tag : Musafir
sāhil pe log yūñhī khaḌe dekhte rahe
dariyā meñ ham jo utre to dariyā utar gayā
sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya
-
Tag : Dariya
kashtiyāñ Duub rahī haiñ koī sāhil laao
apnī āñkheñ mirī āñkhoñ ke muqābil laao
kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao
apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao
-
Tag : Kashti
sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā
dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā
sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya
dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya
-
Tags : Karbalaand 1 more
maiñ jis raftār se tūfāñ kī jānib baḌhtā jaatā huuñ
usī raftār se nazdīk sāhil hotā jaatā hai
main jis raftar se tufan ki jaanib baDhta jata hun
usi raftar se nazdik sahil hota jata hai
safīna ho rahā hai ġharq-e-tūfāñ
nigāhoñ se kināre jā rahe haiñ
safina ho raha hai gharq-e-tufan
nigahon se kinare ja rahe hain