Sher on Musafir
Travel is a metaphor
and a traveler explores that metaphor in multiple ways. In the process, life is unveiled and gives much to the poets to develop upon. A traveler has a destination in mind which may or may not be achieved. Yet, his travelling continues as does life—ceaselessly.
musāfir haiñ ham bhī musāfir ho tum bhī
kisī moḌ par phir mulāqāt hogī
musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
kisi moD par phir mulaqat hogi
-
Tags : Famous shayariand 1 more
musāfiroñ se mohabbat kī baat kar lekin
musāfiroñ kī mohabbat kā e'tibār na kar
musafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musafiron ki mohabbat ka e'tibar na kar
nagrī nagrī phirā musāfir ghar kā rastā bhuul gayā
kyā hai terā kyā hai merā apnā parāyā bhuul gayā
nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya
musāfir hī musāfir har taraf haiñ
magar har shaḳhs tanhā jā rahā hai
musafir hi musafir har taraf hain
magar har shaKHs tanha ja raha hai
-
Tag : Tanhai
ka.ī saal se kuchh ḳhabar hī nahīñ
kahāñ din guzārā kahāñ raat kī
kai sal se kuchh KHabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki
ai adam ke musāfiro hoshiyār
raah meñ zindagī khaḌī hogī
ai adam ke musafiro hoshiyar
rah mein zindagi khaDi hogi
-
Tag : Zindagi
musāfir apnī manzil par pahuñch kar chain paate haiñ
vo maujeñ sar paTaktī haiñ jinheñ sāhil nahīñ miltā
musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain
wo maujen sar paTakti hain jinhen sahil nahin milta
-
Tag : Sahil
ham musāfir haiñ gard-e-safar haiñ magar ai shab-e-hijr ham koī bachche nahīñ
jo abhī āñ.suoñ meñ nahā kar ga.e aur abhī muskurāte palaT ā.eñge
hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin
jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palaT aaenge
din meñ pariyoñ kī koī kahānī na sun
jañgaloñ meñ musāfir bhaTak jā.eñge
din mein pariyon ki koi kahani na sun
jangalon mein musafir bhaTak jaenge
kāñTe bone vaale sach-much tū bhī kitnā bholā hai
jaise raahī ruk jā.eñge tere kāñTe bone se
kanTe bone wale sach-much tu bhi kitna bhola hai
jaise rahi ruk jaenge tere kanTe bone se
zarā rahne do apne dar pe ham ḳhāna-ba-doshoñ ko
musāfir jis jagah ārām paate haiñ Thaharte haiñ
zara rahne do apne dar pe hum KHana-ba-doshon ko
musafir jis jagah aaram pate hain Thaharte hain
musāfir tirā zikr karte rahe
mahaktā rahā rāsta der tak
musafir tera zikr karte rahe
mahakta raha rasta der tak
-
Tag : Raasta
tumhāre saath hī us ko bhī Duub jaanā hai
ye jāntā hai musāfir tire safīne kā
tumhaare sath hi us ko bhi Dub jaana hai
ye jaanta hai musafir tere safine ka
kuchh TuuTe phaTe siine ko saath apne safar meñ
kyā vo bhī musāfir jo na rakkhe suī taagā
kuchh TuTe phaTe sine ko sath apne safar mein
kya wo bhi musafir jo na rakkhe sui taga
hotā hai musāfir ko do-rāhe meñ tavaqquf
rah ek hai uTh jaa.e jo shak dair-o-haram kā
hota hai musafir ko do-rahe mein tawaqquf
rah ek hai uTh jae jo shak dair-o-haram ka
ik jām-e-mai kī ḳhātir palkoñ se ye musāfir
jārob-kash rahā hai barsoñ dar-e-muġhāñ kā
ek jam-e-mai ki KHatir palkon se ye musafir
jarob-kash raha hai barson dar-e-mughan ka
palaT aatā huuñ maiñ māyūs ho kar un maqāmoñ se
jahāñ se silsila nazdīk-tar hotā hai manzil kā
palaT aata hun main mayus ho kar un maqamon se
jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka
-
Tag : Manzil
rasta bhī hamī log the raahī bhī hamīñ the
aur apnī masāfat kī gavāhī bhī hamīñ the
rasta bhi hami log the rahi bhi hamin the
aur apni masafat ki gawahi bhi hamin the
-
Tags : Raastaand 1 more
qadam baḌhā ki abhī duur hai tirī manzil
shikast-e-ābla-pā.ī hai ḳhaar kī had tak
qadam baDha ki abhi dur hai teri manzil
shikast-e-abla-pai hai KHar ki had tak
-
Tag : Raasta