Sher on Samundar
Sea has been a major
symbol in poetry of all languages and in all ages. It represents history, memory, flux of time, and grandeur apart from many other things. Urdu poets have been enamored by its symbolic significance and they have used it multiple contexts. This selection brings to you a few of its facets and dimensions. We hope you enjoy the depths of the sea and its poetical representations here.
kaun kahtā hai ki maut aa.ī to mar jā.ūñgā
maiñ to dariyā huuñ samundar meñ utar jā.ūñgā
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
main to dariya hun samundar mein utar jaunga
-
Tags : Dariyaand 1 more
girte haiñ samundar meñ baḌe shauq se dariyā
lekin kisī dariyā meñ samundar nahīñ girtā
girte hain samundar mein baDe shauq se dariya
lekin kisi dariya mein samundar nahin girta
-
Tag : Dariya
nazroñ se nāptā hai samundar kī vus.ateñ
sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā
nazron se napta hai samundar ki wusaten
sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua
-
Tag : Sahil
unheñ Thahre samundar ne Duboyā
jinheñ tūfāñ kā andāzā bahut thā
unhen Thahre samundar ne Duboya
jinhen tufan ka andaza bahut tha
dost ahbāb se lene na sahāre jaanā
dil jo ghabrā.e samundar ke kināre jaanā
dost ahbab se lene na sahaare jaana
dil jo ghabrae samundar ke kinare jaana
chheḌ kar jaise guzar jaatī hai doshīza havā
der se ḳhāmosh hai gahrā samundar aur maiñ
chheD kar jaise guzar jati hai doshiza hawa
der se KHamosh hai gahra samundar aur main
-
Tags : Hawaand 1 more
chamak rahā hai ḳhema-e-raushan duur sitāre sā
dil kī kashtī tair rahī hai khule samundar meñ
chamak raha hai KHema-e-raushan dur sitare sa
dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein
-
Tags : Diland 1 more
kaTī huī hai zamīñ koh se samundar tak
milā hai ghaao ye dariyā ko rāsta de kar
kaTi hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghao ye dariya ko rasta de kar
-
Tags : Dariyaand 1 more
band ho jaatā hai kuuze meñ kabhī dariyā bhī
aur kabhī qatra samundar meñ badal jaatā hai
band ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai
-
Tag : Dariya
samundar adā-fahm thā ruk gayā
ki ham paañv paanī pe dharne ko the
samundar ada-fahm tha ruk gaya
ki hum panw pani pe dharne ko the
rakkhī huī hai donoñ kī buniyād ret par
sahrā-e-be-karāñ ko samundar likheñge ham
rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par
sahra-e-be-karan ko samundar likhenge hum
-
Tags : Sahraand 1 more