Sher on Philosophical
Philosophy is the essence
while the manifestations of life are the matter. All poetry must have their foundation in one philosophical thought or the other. Philosophy provides the material by which we live and sustain ourselves. This selection would help you appreciate the deeper layers of meaning that life entails. Indulge into these gems and appreciate their worth in our lives.
har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī
jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
-
Tags : Aadmiand 3 more
apne hone kā kuchh ehsās na hone se huā
ḳhud se milnā mirā ik shaḳhs ke khone se huā
apne hone ka kuchh ehsas na hone se hua
KHud se milna mera ek shaKHs ke khone se hua
aisī tārīkiyāñ āñkhoñ meñ basī haiñ ki 'farāz'
raat to raat hai ham din ko jalāte haiñ charāġh
aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz'
raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh
na ibtidā kī ḳhabar hai na intihā ma.alūm
rahā ye vahm ki ham haiñ so vo bhī kyā ma.alūm
TRANSLATION
Neither the beginning, nor the end do I know,
As for this illusion that I am, but do I really know.
Sagar Akbarabadi
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
raha ye wahm ki hum hain so wo bhi kya malum
TRANSLATION
Neither the beginning, nor the end do I know,
As for this illusion that I am, but do I really know.
Sagar Akbarabadi
-
Tags : Wahmand 1 more
kabhī ai haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz meñ
ki hazāroñ sajde taḌap rahe haiñ mirī jabīn-e-niyāz meñ
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein
ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein
butoñ ko pūjne vāloñ ko kyuuñ ilzām dete ho
Daro us se ki jis ne un ko is qābil banāyā hai
buton ko pujne walon ko kyun ilzam dete ho
Daro us se ki jis ne un ko is qabil banaya hai
jaane kitne log shāmil the mirī taḳhlīq meñ
maiñ to bas alfāz meñ thā shā.erī meñ kaun thā
jaane kitne log shamil the meri taKHliq mein
main to bas alfaz mein tha shaeri mein kaun tha
lamhoñ ke azaab sah rahā huuñ
maiñ apne vajūd kī sazā huuñ
lamhon ke azab sah raha hun
main apne wajud ki saza hun
-
Tag : Wajood
mire fusūñ ne dikhā.ī hai tere ruḳh kī sahar
mire junūñ ne banā.ī hai tere zulf kī shaam
mere fusun ne dikhai hai tere ruKH ki sahar
mere junun ne banai hai tere zulf ki sham
ruup kī dhuup kahāñ jaatī hai ma.alūm nahīñ
shaam kis tarah utar aatī hai ruḳhsāroñ par
rup ki dhup kahan jati hai malum nahin
sham kis tarah utar aati hai ruKHsaron par
muddat ke ba.ad aaj maiñ office nahīñ gayā
ḳhud apne saath baiTh ke din bhar sharāb pī
muddat ke baad aaj main office nahin gaya
KHud apne sath baiTh ke din bhar sharab pi
maiñ bhī yahāñ huuñ is kī shahādat meñ kis ko lā.ūñ
mushkil ye hai ki aap huuñ apnī nazīr maiñ
main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun
mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main
-
Tag : Wajood
gar josh pe Tuk aayā dariyāv tabī.at kā
ham tum ko dikhā deñge phailāv tabī.at kā
gar josh pe Tuk aaya dariyaw tabiat ka
hum tum ko dikha denge phailaw tabiat ka
mujhe to lagtā hai jaise ye kā.enāt tamām
hai bāzgasht yaqīnan sadā kisī kī nahīñ
mujhe to lagta hai jaise ye kaenat tamam
hai bazgasht yaqinan sada kisi ki nahin
dhoka hai ik fareb hai manzil kā har ḳhayāl
sach pūchhiye to saarā safar vāpsī kā hai
dhoka hai ek fareb hai manzil ka har KHayal
sach puchhiye to sara safar wapsi ka hai