Bharat Bhushan Pant
Ghazal 39
Sher-o-Shayari 38
ghar se nikal kar jaatā huuñ maiñ roz kahāñ
ik din apnā pīchhā kar ke dekhā jaa.e
ghar se nikal kar jata hun main roz kahan
ek din apna pichha kar ke dekha jae
-
Share this
- See Ghazal
har taraf thī ḳhāmoshī aur aisī ḳhāmoshī
raat apne saa.e se ham bhī Dar ke ro.e the
har taraf thi KHamoshi aur aisi KHamoshi
raat apne sae se hum bhi Dar ke roe the
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 19
Image Shayari 3
mirii hii baat suntii hai mujhii se baat kartii hai kahaa.n tanhaa.ii ghar kii ab kisii se baat kartii hai hamesha us kii baato.n me.n a.ndhero.n kaa vahii ronaa ye shab jab bhii diye kii raushnii se baat kartii hai mai.n jab maayuus ho kar raaste me.n baiTh jaataa huu.n to har manzil mirii aavaargii se baat kartii hai sukuut-e-shab me.n jab saare musaafir so.e hote hai.n unhii.n lamhaat me.n kashtii nadii se baat kartii hai kabhii chup chaap taariikii kii chaadar o.Dh letii hai kabhii vo jhiil shab bhar chaa.ndnii se baat kartii hai dayaar-e-zaat me.n us vaqt jab mai.n bhii nahii.n hotaa ko.ii aavaaz merii KHaamushii se baat kartii hai hamesha us ke chehre par ajab saa KHauf rahtaa hai kabhii jab maut merii zindagii se baat kartii hai