Sher on Paan
Chewing betel leaves
is a part of the Indian subcontinent’s culture. It is also offered to others in an act of courtesy and to make friends. The redness that betel leaves bring to lips has attracted men and women to each other. Poetry too has taken note of this. We share some of them with you here.
lagāvaT kī adā se un kā kahnā paan hāzir hai
qayāmat hai sitam hai dil fidā hai jaan hāzir hai
lagawaT ki ada se un ka kahna pan hazir hai
qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai
uThāyā us ne biiḌā qatl kā kuchh dil meñ Thānā hai
chabānā paan kā bhī ḳhuuñ bahāne kā bahāna hai
uThaya us ne biDa qatl ka kuchh dil mein Thana hai
chabana pan ka bhi KHun bahane ka bahana hai
jab ham-kalām ham se hotā hai paan khā kar
kis rang se kare hai bāteñ chabā chabā kar
jab ham-kalam hum se hota hai pan kha kar
kis rang se kare hai baaten chaba chaba kar
gilaurī raqīboñ ne bhejī hai sāhab
kisī aur ko bhī khilā lījiyegā
gilauri raqibon ne bheji hai sahab
kisi aur ko bhi khila lijiyega
sunā ke koī kahānī hameñ sulātī thī
duāoñ jaisī baḌe pān-dān kī ḳhushbū
suna ke koi kahani hamein sulati thi
duaon jaisi baDe pan-dan ki KHushbu
hoñThoñ meñ daab kar jo gilaurī dī yaar ne
kyā daañt piise ġhairoñ ne kyā kyā chabā.e hoñTh
honThon mein dab kar jo gilauri di yar ne
kya dant pise ghairon ne kya kya chabae honTh
bāloñ meñ bal hai aañkh meñ surma hai muñh meñ paan
ghar se nikal ke paañv nikāle nikal chale
baalon mein bal hai aankh mein surma hai munh mein pan
ghar se nikal ke panw nikale nikal chale
bahut se ḳhūn-ḳharābe macheñge ḳhāna-ḳharāb
yahī hai rañg agar tere paan khāne kā
bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab
yahi hai rang agar tere pan khane ka
kājal mehñdī paan misī aur kañghī choTī meñ har aan
kyā kyā rañg banāvegī aur kyā kyā naqshe Dhālegī
kajal mehndi pan misi aur kanghi choTi mein har aan
kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe Dhaalegi
paan ke Thele hotel logoñ kā jamghaT
apne tanhā hone kā ehsās bhī kyā
pan ke Thele hotel logon ka jamghaT
apne tanha hone ka ehsas bhi kya
kab paan raqīboñ ko ināyat nahīñ hote
kis roz mire qatl kā biiḌā nahīñ uThtā
kab pan raqibon ko inayat nahin hote
kis roz mere qatl ka biDa nahin uThta
thā bahut un ko gilaurī kā uThānā mushkil
dast-e-nāzuk se diyā paan baḌī mushkil se
tha bahut un ko gilauri ka uThana mushkil
dast-e-nazuk se diya pan baDi mushkil se
paan khā kar jo ugaal aap ne thūkā sāhab
jauharī mahv hue la.al-e-yaman yaad aayā
pan kha kar jo ugal aap ne thuka sahab
jauhari mahw hue lal-e-yaman yaad aaya
tumhāre lab kī surḳhī la.al kī mānind aslī hai
agar tum paan ai pyāre na khāoge to kyā hogā
tumhaare lab ki surKHi lal ki manind asli hai
agar tum pan ai pyare na khaoge to kya hoga
ham na uThte haiñ na vo dete haiñ
haath meñ paan hai kyā mushkil hai
hum na uThte hain na wo dete hain
hath mein pan hai kya mushkil hai
mire qatl par tum ne biiḌā uThāyā
mire haath kā paan khāyā to hotā
mere qatl par tum ne biDa uThaya
mere hath ka pan khaya to hota
jabhī tū paan khā kar muskurāyā
tabhī dil khil gayā gul kī kalī kā
jabhi tu pan kha kar muskuraya
tabhi dil khil gaya gul ki kali ka
paan ban ban ke mirī jaan kahāñ jaate haiñ
ye mire qatl ke sāmān kahāñ jaate haiñ
pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain
ye mere qatl ke saman kahan jate hain
tere hoñThoñ ke ta.iiñ paan se laal
dekh kar ḳhūn-e-jigar khātā huuñ
tere honThon ke tain pan se lal
dekh kar KHun-e-jigar khata hun
ḳhūn-e-ushshāq hai ma.ānī meñ
shauq se paan khā.iye sāhab
KHun-e-ushshaq hai maani mein
shauq se pan khaiye sahab
aa.e bhī to khaa.e na gilaurī na malā itr
rokī mirī dāvat mujhe mehmāñ se gilā hai
aae bhi to khae na gilauri na mala itr
roki meri dawat mujhe mehman se gila hai
gar maza chāho to katro dil saraute se mirā
tum supārī kī Dalī rakhte ho nāhaq paan meñ
gar maza chaho to katro dil saraute se mera
tum supari ki Dali rakhte ho nahaq pan mein
sadā paan khā khā ke nikle hai bāhar
zamāne meñ ḳhūñ-ḳhvār paidā huā hai
sada pan kha kha ke nikle hai bahar
zamane mein KHun-KHwar paida hua hai
haath meñ le kar gilaurī mujh ko dikhlā kar kahā
muñh to banvā.e koī is paan khāne ke liye
hath mein le kar gilauri mujh ko dikhla kar kaha
munh to banwae koi is pan khane ke liye
aate haiñ vo kahīñ se to ai 'mehr' qarz daam
chiknī Dalī ilā.ichī mañgā paan chhāliyā
aate hain wo kahin se to ai 'mehr' qarz dam
chikni Dali ilaichi manga pan chhaaliya
paan khāne kī adā ye hai to ik aalam ko
ḳhuuñ rulā.egā mirī jaañ dahan-e-surkh tirā
pan khane ki ada ye hai to ek aalam ko
KHun rulaega meri jaan dahan-e-surkh tera
ḳhūn-e-ushshāq kā uThā biiḌā
be-sabab kab vo paan khātā hai
KHun-e-ushshaq ka uTha biDa
be-sabab kab wo pan khata hai
kyā hai mujhe dete ho gilaurī
chūne meñ kahīñ na sañkhiyā ho
kya hai mujhe dete ho gilauri
chune mein kahin na sankhiya ho