Sher on Mazdoor
Literature has had respectable
space for social issues one of which concerns the case of labourers. Poets in particular, have engaged with this in their own ways. In fact, Urdu poets have celebrated their worth and spoken against their exploitation. This selection brings a variety of perspectives on these issues.
so jaate haiñ fōtpath pe aḳhbār bichhā kar
mazdūr kabhī niiñd kī golī nahīñ khāte
so jate hain footpath pe aKHbar bichha kar
mazdur kabhi nind ki goli nahin khate
farishte aa kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñ
vo bachche rail ke Dibboñ meñ jo jhāḌū lagāte haiñ
farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain
wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain
kuchal kuchal ke na fōt-pāth ko chalo itnā
yahāñ pe raat ko mazdūr ḳhvāb dekhte haiñ
kuchal kuchal ke na foot-path ko chalo itna
yahan pe raat ko mazdur KHwab dekhte hain
aane vaale jaane vaale har zamāne ke liye
aadmī mazdūr hai rāheñ banāne ke liye
aane wale jaane wale har zamane ke liye
aadmi mazdur hai rahen banane ke liye
shahr meñ mazdūr jaisā dar-ba-dar koī nahīñ
jis ne sab ke ghar banā.e us kā ghar koī nahīñ
shahr mein mazdur jaisa dar-ba-dar koi nahin
jis ne sab ke ghar banae us ka ghar koi nahin
tū qādir o aadil hai magar tere jahāñ meñ
haiñ talḳh bahut banda-e-mazdūr ke auqāt
tu qadir o aadil hai magar tere jahan mein
hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat
niiñd aa.egī bhalā kaise use shaam ke ba.ad
roTiyāñ bhī na mayassar hoñ jise kaam ke ba.ad
nind aaegi bhala kaise use sham ke baad
roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke baad
mehnat kar ke ham to āḳhir bhūke bhī so jā.eñge
yā maulā tū barkat rakhnā bachchoñ kī guḌ-dhānī meñ
mehnat kar ke hum to aaKHir bhuke bhi so jaenge
ya maula tu barkat rakhna bachchon ki guD-dhani mein
bojh uThānā shauq kahāñ hai majbūrī kā saudā hai
rahte rahte station par log qulī ho jaate haiñ
bojh uThana shauq kahan hai majburi ka sauda hai
rahte rahte station par log quli ho jate hain
hone do charāġhāñ mahloñ meñ kyā ham ko agar dīvālī hai
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham mazdūr kī duniyā kaalī hai
hone do charaghan mahlon mein kya hum ko agar diwali hai
mazdur hain hum mazdur hain hum mazdur ki duniya kali hai
ta.amīr-o-taraqqī vaale haiñ kahiye bhī to un ko kyā kahiye
jo shīsh-mahal meñ baiThe hue mazdūr kī bāteñ karte haiñ
tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye
jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baaten karte hain
logoñ ne ārām kiyā aur chhuTTī puurī kī
yakum may ko bhī mazdūroñ ne mazdūrī kī
logon ne aaram kiya aur chhuTTi puri ki
yakum may ko bhi mazduron ne mazduri ki
peḌ ke nīche zarā sī chhāñv jo us ko milī
so gayā mazdūr tan par boriyā oḌhe hue
peD ke niche zara si chhanw jo us ko mili
so gaya mazdur tan par boriya oDhe hue
mill mālik ke kutte bhī charbīle haiñ
lekin mazdūroñ ke chehre piile haiñ
mill malik ke kutte bhi charbile hain
lekin mazduron ke chehre pile hain
terī tābish se raushan haiñ gul bhī aur vīrāne bhī
kyā tū bhī is hañstī-gātī duniyā kā mazdūr hai chāñd?
teri tabish se raushan hain gul bhi aur virane bhi
kya tu bhi is hansti-gati duniya ka mazdur hai chand?
maiñ ne 'anvar' is liye bāñdhī kalā.ī par ghaḌī
vaqt pūchheñge ka.ī mazdūr bhī raste ke biich
main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghaDi
waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich
zindagī ab is qadar saffāk ho jā.egī kyā
bhuuk hī mazdūr kī ḳhūrāk ho jā.egī kyā
zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya
bhuk hi mazdur ki KHurak ho jaegi kya
ab un kī ḳhvāb-gāhoñ meñ koī āvāz mat karnā
bahut thak-hār kar fōtpath par mazdūr so.e haiñ
ab un ki KHwab-gahon mein koi aawaz mat karna
bahut thak-haar kar footpath par mazdur soe hain
pasīna merī mehnat kā mire māthe pe raushan thā
chamak la.al-o-javāhar kī mirī Thokar pe rakkhī thī
pasina meri mehnat ka mere mathe pe raushan tha
chamak lal-o-jawahar ki meri Thokar pe rakkhi thi
daulat kā falak toḌ ke aalam kī jabīñ par
mazdūr kī qismat ke sitāre nikal aa.e
daulat ka falak toD ke aalam ki jabin par
mazdur ki qismat ke sitare nikal aae
-
Tag : Falak
ḳhuun mazdūr kā miltā jo na ta.amīroñ meñ
na havelī na mahal aur na koī ghar hotā
KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein
na haweli na mahal aur na koi ghar hota
maiñ ik mazdūr huuñ roTī kī ḳhātir bojh uThātā huuñ
mirī qismat hai bār-e-hukmarānī pusht par rakhnā
main ek mazdur hun roTi ki KHatir bojh uThata hun
meri qismat hai bar-e-hukmarani pusht par rakhna
bulāte haiñ hameñ mehnat-kashoñ ke haath ke chhāle
chalo muhtāj ke muñh meñ nivāla rakh diyā jaa.e
bulate hain hamein mehnat-kashon ke hath ke chhaale
chalo muhtaj ke munh mein niwala rakh diya jae
saroñ pe oḌh ke mazdūr dhuup kī chādar
ḳhud apne sar pe use sā.ebāñ samajhne lage
saron pe oDh ke mazdur dhup ki chadar
KHud apne sar pe use saeban samajhne lage
tirī zamīn pe kartā rahā huuñ mazdūrī
hai sūkhne ko pasīna muāvza hai kahāñ
teri zamin pe karta raha hun mazduri
hai sukhne ko pasina muawza hai kahan
phūTne vaalī hai mazdūr ke māthe se kiran
surḳh parcham ufuq-e-sub.h pe lahrāte haiñ
phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain
ġharīboñ par to mausam bhī hukūmat karte rahte haiñ
kabhī bārish kabhī garmī kabhī ThanDak kā qabza hai
gharibon par to mausam bhi hukumat karte rahte hain
kabhi barish kabhi garmi kabhi ThanDak ka qabza hai
is liye sab se alag hai mirī ḳhushbū 'āmī'
mushk-e-mazdūr pasīne meñ liye phirtā huuñ
is liye sab se alag hai meri KHushbu 'ami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirta hun
inhī hairat-zada āñkhoñ se dekhe haiñ vo aañsū bhī
jo aksar dhuup meñ mehnat kī peshānī se Dhalte haiñ
inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi
jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain
maiñ ki ek mehnat-kash maiñ ki tīrgī-dushman
sub.h-e-nau ibārat hai mere muskurāne se
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibarat hai mere muskurane se
ham haiñ mazdūr hameñ kaun sahārā degā
ham to miT kar bhī sahārā nahīñ māñgā karte
hum hain mazdur hamein kaun sahaara dega
hum to miT kar bhi sahaara nahin manga karte
ab tak mire a.asāb pe mehnat hai musallat
ab tak mire kānoñ meñ mashīnoñ kī sadā hai
ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat
ab tak mere kanon mein mashinon ki sada hai
duniyā merī zindagī ke din kam kartī jaatī hai kyuuñ
ḳhuun pasīna ek kiyā hai ye merī mazdūrī hai
duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun
KHun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai
le ke tesha uThā hai phir mazdūr
Dhal rahe haiñ jabal mashīnoñ meñ
le ke tesha uTha hai phir mazdur
Dhal rahe hain jabal mashinon mein
aaj bhī 'siprā' us kī ḳhushbū mill mālik le jaatā hai
maiñ lohe kī naaf se paidā jo kastūrī kartā huuñ
aaj bhi 'sipra' us ki KHushbu mill malik le jata hai
main lohe ki naf se paida jo kasturi karta hun
kitnā buad hai mere fan aur peshe ke mābain
bāhar dānish-var huuñ lekin mill meñ oil-man
kitna buad hai mere fan aur peshe ke mabain
bahar danish-war hun lekin mill mein oil-man