Ahmad Salman
Ghazal 4
Sher-o-Shayari 5
sab ne maanā marne vaalā dahshat-gard aur qātil thā
maañ ne phir bhī qabr pe us kī rāj-dulārā likkhā thā
sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha
man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
-
Share this
- See Ghazal
maiñ huuñ bhī to lagtā hai ki jaise maiñ nahīñ huuñ
tum ho bhī nahīñ aur ye lagtā hai ki tum ho
main hun bhi to lagta hai ki jaise main nahin hun
tum ho bhi nahin aur ye lagta hai ki tum ho
-
Share this
- See Ghazal
jo dikh rahā usī ke andar jo an-dikhā hai vo shā.erī hai
jo kah sakā thā vo kah chukā huuñ jo rah gayā hai vo shā.erī hai
jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shaeri hai
jo kah saka tha wo kah chuka hun jo rah gaya hai wo shaeri hai
-
Share this
- See Ghazal
vo jin daraḳhtoñ kī chhāñv meñ se musāfiroñ ko uThā diyā thā
unhīñ daraḳhtoñ pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
wo jin daraKHton ki chhanw mein se musafiron ko uTha diya tha
unhin daraKHton pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
jo ham pe guzre the ranj saare jo KHud pe guzre to log samjhe jab apnii apnii mohabbato.n ke azaab jhele to log samjhe vo jin daraKHto.n kii chhaa.nv me.n se musaafiro.n ko uThaa diyaa thaa unhii.n daraKHto.n pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe us ek kachchii sii umr vaalii ke falsafe ko ko.ii na samjhaa jab us ke kamre se laash niklii KHutuut nikle to log samjhe vo KHvaab the hii cha.nbeliyo.n se so sab ne haakim kii kar lii bai'at phir ik cha.nbelii kii oT me.n se jo saa.np nikle to log samjhe vo gaa.nv kaa ik za.iif dahqaa.n sa.Dak ke ban.ne pe kyuu.n KHafaa thaa jab un ke bachche jo shahr jaakar kabhii na lauTe to log samjhe