Azhar Iqbal
Ghazal 10
Sher-o-Shayari 11
ghuTan sī hone lagī us ke paas jaate hue
maiñ ḳhud se ruuTh gayā huuñ use manāte hue
ghuTan si hone lagi us ke pas jate hue
main KHud se ruTh gaya hun use manate hue
-
Share this
- See Ghazal
tumhāre aane kī ummīd bar nahīñ aatī
maiñ raakh hone lagā huuñ diye jalāte hue
tumhaare aane ki ummid bar nahin aati
main rakh hone laga hun diye jalate hue
-
Share this
- See Ghazal
ye kaifiyat hai merī jaan ab tujhe kho kar
ki ham ne ḳhud ko bhī paayā nahīñ bahut din se
ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar
ki hum ne KHud ko bhi paya nahin bahut din se
-
Share this
- See Ghazal
ek muddat se haiñ safar meñ ham
ghar meñ rah kar bhī jaise beghar se
ek muddat se hain safar mein hum
ghar mein rah kar bhi jaise beghar se
-
Share this
- See Ghazal
Qita 1
Image Shayari 3
vo maahtaab abhii baam par nahii.n aayaa mirii du.aa.o.n me.n shaayad asar nahii.n aayaa bahut ajiib hai yaaro.n bulandiyo.n kaa tilism jo ek baar gayaa lauT kar nahii.n aayaa ye kaa.enaat kii vus.at khulii nahii.n mujh par mai.n apnii zaat se jab tak guzar nahii.n aayaa bahut dino.n se hai be-shakl sii merii miTTii bahut dino.n se ko.ii kuuza-gar nahii.n aayaa bas ek lamhe ko be-pairaahan use dekhaa phir is ke baa'd mujhe kuchh nazar nahii.n aayaa ham ab bhii dasht me.n KHema lagaa.e baiThe hai.n hamaare hisse me.n apnaa hii ghar nahii.n aayaa zamiin baa.njh na ho jaa.e kuchh kaho 'az.har' suKHan kii shaaKH pe kab se samar nahii.n aayaa