Sher on Ilm
Knowledge is power.
Men traverse long distances to enrich themselves with knowledge. Life is meaningful because there is an urge to learn and broaden the frontiers of knowledge. You have a selection of verses here on knowledge that open up new dimensions of this subject.
maz.habī bahs maiñ ne kī hī nahīñ
fāltū aql mujh meñ thī hī nahīñ
from sectarian debate refrained
for I was not so scatter-brained
mazhabi bahs main ne ki hi nahin
faltu aql mujh mein thi hi nahin
from sectarian debate refrained
for I was not so scatter-brained
ye ilm kā saudā ye risāle ye kitābeñ
ik shaḳhs kī yādoñ ko bhulāne ke liye haiñ
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
-
Tags : Kitaband 1 more
ilm meñ bhī surūr hai lekin
ye vo jannat hai jis meñ huur nahīñ
ilm mein bhi surur hai lekin
ye wo jannat hai jis mein hur nahin
ilm kī ibtidā hai hañgāma
ilm kī intihā hai ḳhāmoshī
ilm ki ibtida hai hangama
ilm ki intiha hai KHamoshi
aql ko tanqīd se fursat nahīñ
ishq par a.amāl kī buniyād rakh
aql ko tanqid se fursat nahin
ishq par aamal ki buniyaad rakh
had se baḌhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jānte haiñ vo kuchh jānte nahīñ
knowledge, friends, is poisonous, if its in excess
those who, say, know everything, no knowledge do possess
had se baDhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jaante hain wo kuchh jaante nahin
knowledge, friends, is poisonous, if its in excess
those who, say, know everything, no knowledge do possess
yahī jaanā ki kuchh na jaanā haa.e
so bhī ik umr meñ huā ma.alūm
yahi jaana ki kuchh na jaana hae
so bhi ek umr mein hua malum
aql kahtī hai dobāra āzmānā jahl hai
dil ye kahtā hai fareb-e-dost khāte jā.iye
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
-
Tags : Dhokaand 3 more
lafz o manzar meñ ma.ānī ko TaTolā na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhā na karo
lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo
hosh wale ho to har baat ko samjha na karo
thoḌī sī aql laa.e the ham bhī magar 'adam'
duniyā ke hādsāt ne dīvāna kar diyā
thoDi si aql lae the hum bhi magar 'adam'
duniya ke hadsat ne diwana kar diya
adab ta.alīm kā jauhar hai zevar hai javānī kā
vahī shāgird haiñ jo ḳhidmat-e-ustād karte haiñ
adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
-
Tag : Teacher
ādamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shai
kitnā tote ko paḌhāyā par vo haivāñ hī rahā
aadamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shai
kitna tote ko paDhaya par wo haiwan hi raha
ibtidā ye thī ki maiñ thā aur da.avā ilm kā
intihā ye hai ki is da.ave pe sharmāyā bahut
ibtida ye thi ki main tha aur dawa ilm ka
intiha ye hai ki is dawe pe sharmaya bahut
aql meñ jo ghir gayā lā-intihā kyūñkar huā
jo samā meñ aa gayā phir vo ḳhudā kyūñkar huā
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
mire qabīle meñ ta.alīm kā rivāj na thā
mire buzurg magar taḳhtiyāñ banāte the
mere qabile mein talim ka riwaj na tha
mere buzurg magar taKHtiyan banate the
junūñ ko hosh kahāñ ehtimām-e-ġhārat kā
fasād jo bhī jahāñ meñ huā ḳhirad se huā
junun ko hosh kahan ehtimam-e-ghaarat ka
fasad jo bhi jahan mein hua KHirad se hua
vo khaḌā hai ek bāb-e-ilm kī dahlīz par
maiñ ye kahtā huuñ use is ḳhauf meñ dāḳhil na ho
wo khaDa hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta hun use is KHauf mein daKHil na ho
jaan kā sarfa ho to ho lekin
sarf karne se ilm baḌhtā hai
jaan ka sarfa ho to ho lekin
sarf karne se ilm baDhta hai
ujālā 'ilm kā phailā to hai chāroñ taraf yaaro
basīrat aadmī kī kuchh magar kam hotī jaatī hai
ujala 'ilm ka phaila to hai chaaron taraf yaro
basirat aadmi ki kuchh magar kam hoti jati hai
-
Tag : Aagahi